Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi :
__________

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Owais-e-Dauraan, Ghauṡ-e-Zamaan, Qutub-ul-Waqt.

****************
Aap ki wilaadat 1 Ramazaan 1208 Hijri (1794 A.D.) ko Subah saadiq ke waqt Mallawan (Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Makhdoom Shaikh Ahllullāh bin Mulla Mohammad Faiyaaz aur waalida ka naam Baseerat bibi binte Sayyed Rahmatullāh Shaah hai.

Aap Hazrat Abu Bakr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ki naana Saadaat hain.

****************
Aap ke waalid ke Peer o murshid Hazrat Maulana Abdur Rahmān Lakhnawi rahmatullāhi alaihi ne aap ki wilaadat ki bashaarat pehle hi se Aap ke waalid ko de di thi.

Aap ki umr jab 6 saal ki hui to ek din aap ke waalid Aap ko apne saath apne Peer o murshid ke paas le gaye. Maulana Abdur Rahmān Lakhnawi ne Aap ko dekhte hi farmaaya ke “Yeh ladka Hindustan ka Qutub hoga.”

Ek baar Hazrat Ghulaam Ali Dehalwi Saahab rahmatullāhi alaihi ne Aap ko dekhkar masarrat ke saath farmaaya ki “Yeh woh Noor hai jo mashriq se maghrib tak ko roshan kar dega.”

**************
Aap paida'ishi wali the.
Ramazaan me paida hone ki wajah se paidaish se hi din ke waqt me doodh nahi peete the, sirf maghrib ke baad raat ke waqt doodh peete.

Bachpan me aap khelna pasand nahi karte the. Dusre bache puchhte to aap kehte “ALLĀH ne mujhe khelne ke liye dunya me nahi bheja hai.”

Jab 2 saal 6 maah ke hue tab Kalma padhna shuru kiya.

3 saal 6 maah ki umr me Aap ne ek baar Hazrat Maulwi Haidar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi se puchha “Aap akṡar gardan jhukakar kya karte hain?” Unho ne farmaaya “Beta! Main Zikr e Ilāhi kiya karta hu.” Aap ne arz kiya “Aap mujhe bhi sikha den. Main bhi Zikr e Ilāhi karna chaahta hu.” Hazrat ne Aap ko Zikr e Ilāhi ki ta’aleem dena shuru kiya. Chand mahine me Aap Zikr e Ilāhi sikh gaye.

Aap ki 9 saal ki umr me Aap ke waalid ka inteqaal hua. Is ke baad aap ki waalida ne Aap ki parwarish ki.
Aap ki waalida mushkil haalat me bhi kisi rishtedaar ki madad nahi maangti thi, sirf ALLĀH ta’ala se madad ke liye dua karti thi.

****************
Aap ne Bahr-ul-uloom Maulana Mohammad Noor saahab Firangi-mahali se dars e nizaami aur dusre uloom ki ta’aleem haasil ki.

Hazrat Maulwi Haidar Ali Shaah rahmatullāhi alaihi ke mashware par 1221 Hijri (1806 A.D.) me Aap Delhi jaakar Hazrat Khwaja Muhammad Aafaaq Shaah Mehraulwi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.

Jab aap Delhi tashreef laaye tab Khwaja Muhammad Aafaaq Shaah ne pehle se hi apne mureedo ko Aap ke istaqabaal ke liye bhej diya. Jab Aap Khwaja ki baargaah me tashreef laaye to Khwaja ne Aap ko seene se lagaaya aur farmaaya ki “Ek roz tum dunya me sooraj ki tarah chamkoge.”
Bai’at karne ke baad apne saath apne ghar le gaye aur apni saahabzaadi aur daamaad Hazrat Maulana Shaah Abdul Ghani rahmatullāhi alaihi se farmaaya “ALLĀH ne khaas karam se inhe hume ata farmaaya hai. In ka hume bahot intazaar tha. Tamaam aalam in ke darya e faiz wa rahmat se sairaab hoga.’

****************
Is ke baad Aap ne Peer ki ijaazat lekar Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi se Usool-e-Hadeeṡ sikhna shuru kiya.
Pehle din Hazrat ne Aap ko aam talba ki tarah rakha. Aap raat ko bhuke pait hi so gaye. Raat me Hazrat ko ALLĀH jaane kya bashaarat hui ke dusre din Aap ko bulaakar mohabbat ke saath farmaaya “Aaj se tum roz raat ko mere saath khaana khaaoge.” Aur aap ko raat ko Ishaa ke baad waqte tahajjud tak Hadeeṡ ki ta’aleem dena shuru kiya. Is me sirf Hazrat ke daamaad Sayyed Zahir-ud-deed Shaheed ko hi shareek hone ki ijaazat thi.
Ek baar Sayyed Zahir-ud-deed Shaheed ne Hazrat Shaah Abdul Azeez Mohaddeeṡ Dehlawi se raat ko Ishaa ke baad waqte tahajjud tak ka taaleem ka muqarrar waqt badalne ke liye arz kiya. Hazrat ne farmaaya ke “‘Fazl-e-Rehmān  ko alaahida padhaane ka raaz yeh hai ki wo tawajjohaat e Risaalat se padhte hain aur un ko bafaiz Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam uloom ata ho rahe hain. Chunaanche main chaahta hu ke tum roz is me shirkat karke faiz haasil karo.”

****************
Phir kuchh arse tak apne Peer ki baargaah me rehkar faiz haasil kiya.

Phir 1242 Hijri (1826 A.D.) me apne Peer ke farmaan par Gunj-muradabad tashreef laaye.
Aur puri zindagi khidmat e deen karte rahe.

****************
Aap hamesha har baat me saadgi apnaate.
Hamesha haajatmando ko madad karte.
Zyada waqt ibaadat wa riyaazat me guzaarte.
Aap hamesha Sunnat e Rasool par amal karte.
Aap farmaate the ke “Sunnat e Rasool se hi Ghauṡiyat aur Qutubiyat hai. Jo Sunnat par amal na kare wo kabhi wali ho nahi sakta.”

****************
Ek bar Aap apni zauja ke saath baithe hue the. Ek peer-zaada kamre ke andar tashreef laaye aur aate hi behosh ho gaye. Hosh aane ke baad Hazrat ne puchha “Are bhai! Be-hosh kyun ho gaye?” Us peer-zaade ne kaha “Main jab andar aaya to aap ke saath Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ko tashreef farma dekhe. Un ka jamaal dekhkar main be-hosh ho gaya.” Aap ne muskurakar farmaaya “Bas ek hi jhalak me yeh haal hai?”

Ek martaba Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ne tashreef laakar Aap se 2 rak'at namaaz ada karne ke liye farmaaya. Aur Aap ne Huzoor Rasool-Allāh sallallaāhu alaihi wa sallam ke saath 2 rak'at namaaz ada ki.
Aap us maqaam (musalle) par kabhi baithte nahi aur kisi ko baithne bhi nahi dete.
Haal me us maqaam par Aap ka mazaar mubarak hai.

Isi tarah Aap ko Hazrat Ali al-Murtaza aur Sayyeda Faatima Zahara radiy-Allāhu ta’ala anhu ki bhi ziyarat hua karti thi.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
♦ ALLĀH ta’ala ne Aap ko jaanwaro par hukoomat ata farmai thi. Jaanwar bhi Aap ka hukm maante the.

Bachpan me Aap ne kabootar pale the. Ek baar billi ek kabootar ko lekar bhaagne wali thi. Aap ne billi se kaha “Chhod de.” Foran billi ne kabootar ko chhod deya.

Ek baar ek bhediya ek chhote bache ko uthaakar bhaag raha tha. Log bache ko bachaane ke liye us bhediye ke pichhe bhaage. Jab woh bhediya Hazrat ke saamne se guzra to aap ne us bhediye ko ghoorkar dekha. Foran woh bhediya bache ko wahi chhodkar bhaag gaya. Us waqt Hazrat ki umar 5 saal se kam thi.

Ek baar log bahot israar karke Hazrat ko apne saath shikaar par le gaye. Bahot der tak mehnat karne ke baad bhi logo ke haath koi shikaar na laga. Phir bahot door logo ko hiran ka tola aate hua dikha. Logo ne Hazrat ko nishaana lagaane ke liye kaha. Aap ne nishaana nahi lagaaya magar hirano se mukhaatib hokar buland aawaaz se farmaya ki “Tum me se ek hiran mere pass aa jaaye aur baaqi waapas chale jaao. Yeh sunte hi ek hiran daudkar chala aaya. Log khush ho gaye aur hiran ko zinda hi ghar le jaane ki tayyaari karne lage. Hazrat ne logo se farmaaya ke ‘Aaj hiran ne yahan aakar tum logo ka dil rakh liya. Ab tum log is hiran ko aazaad kar do.” Hazrat ki yeh baat sunkar logo ne hiran ko chhod diya.

♦ Aap ALLĀH ta’ala ke fazl se sirf dua karke sab ko shifa ata farmaate. Aap ne bahot saare mareezo ki shadeed beemaariyo ko sirf paani dekar door kiya hai.

****************
Aap ki 3 biwiya aur 4 bete aur 1 beti hain.

Saahabzaade :
(1) Shaah Abdur Rahmān;
(2) Shaah Abdur Raheem;
(3) Shaah Ahmad Miyan;
(4) Sayyed Mohammad Urfe Saidu Baaba (Jo paida'ishi mazdoob the).

Saahabzaadi :
Shafqat Bibi.

****************
Aap Hazrat Khwaja Muhammad Aafaaq Shaah Mehraulwi rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se ‘Naqshbandi Fazliya’ silsila jaari hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Maulana Shaah Ahmad Miyan Gunj-muradabadi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Shaikh-ul-Mohaddeeṡeen Wasi Ahmad Surati rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Maulana Abdul Kareem Punjabi rahmatullāhi alaihi,
 (4) Hazrat Maulana Sayyed Zahoor-ul-Islaam Fatehpuri rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Maulana Mohammad Ali Mungeri rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Maulana Mohammad Idrees Nigrami rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Maulana Badr Ali Shaah Raebarelvi rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Maulana Tajammul Husain Bihari rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Mohaddees Jaleel rahmatullāhi alaihi,
(10) Hazrat Maulana Zaheer Ahmad rahmatullāhi alaihi,
(11) Hazrat Maulana Noor Mohammad Punjabi rahmatullāhi alaihi,
(12) Hazrat Maulana Ahmad Hasan Kanpuri rahmatullāhi alaihi
(13) Hazrat Sayyed Muhammad Ma’aroof Madani Shaah rahmatullāhi alaihi
(14) Hazrat Ejaaz Husain Budayuni rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ne wasiyat farmaai ke “Naza'a ke waqt mere paas Hadeeṡ shareef padhi jaaye taake meri rooh Hadeeṡ shareef sunte sunte nikle.”

Aap ka wisaal 22 Rabi ul awwal 1313 Hijri (September 1895 A.D.) ko Jum’aa ke roz hua.

Aap ka mazaar Gunjmuradabad (Uttar Pradesh) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaah Fazl-e-Rahmān Gunjmuradabadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allah ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments