Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Islami Naye Saal Ki Mubarakbaad dena Kaisa?

🌹SAWAL:-🌹
Islamic Naye Saal Ki Mubarak Baad Dena Kesa ?kuchh Log Kahte He Ki Isme Imamse Husain Radiallahu Anhu Ki Shahadat He To Gam Manana Chahiye Mubarak Baad Nahi Deni Chahiye. Is Ki Kya Asl He ?

🌹JAWAB:-🌹

Islamic Naya Saal Muharramul Haram Se Shuru'a Hota He, Or Ye Mahina Sog W Gam Manane Ka Nahi He. Balki Barkato Or Rahemato Ka Mahina He. Or Islami Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Agar Koi Sunni Dusre Sunni Ko Mubarak Baad Deta He To Ma'azAllah Imame Husain Ki Shahdat Par Nahi Balki Naye Mahine Ke Aamad Ki Khushi Me Deta He.

Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Wala Is Baat Par Khush Hota He Ki Allah Ne Hame Zindagi Ka Ek Or Saal Bhi Dikha Diya He Jisme Hame Tauba Or Nek Amal Kamane Ki Mazeed Mauqa Mayassar Aa Sakta He. Is Liye Naye Saal Ki Mubarak Baad Dene Me Koi Harj Nahi. Ek Musalman Par Dusre Musalman Ke Jo 6 Huquq He Unme Se Ek Ye He Ki Jab Use Khushi Pahunche To Use Mubarak Baad De.

Hazrat Abdullah Bin Hussham Radiallahu Allahu Anhu Ki Riwayat Jise Imam Tabrani Ne Al-awsat Me Darj Kiya Usme Vo Farmate He.

Naye Saal Ya Mahine Ki Aamad Pe Sahaba E Kiram Radiallahu Allahu Anhum Ek Dusre Ko Ye Duaa Sikhate The. Ay Allah Hame Is Mahine Me Aman, Eman Salamati, Or Islam Ke Satb Dakhil Farma. Shaytan Ke Hamlo De Bacha Or Rahman Ki Raza Mandi Ata Farma.
📚(Al-Tibrani, Al-Awsat : 6241)

👉Or Jo Log Kahte He Ki Is Mahine Me Imam Husain Radiallahu Anhu Ko Yazeed Paleed Ne Zulmo Sitam Kiye Or Shaheed Kiya Is Liye Mubarak Baad Nahi Dena Chahiye. Vo Log Zara Ise Bhi Padhe.

Allah Rabbul Izzat Qurane Majeed Me Irshad Farmata He Ki,
Jo Khuda Ki Raah Me Maare Jae Unhe Murda Na Kaho Balki Vo Zinda He Haan Tumhe Khabar Nahi.
📚(SURA E BAQAR, AAYAT-154)

Or Jo Allah Ki Raah Me Maare Gaye Hargiz Unhe Murda Na Khayal Karna Balki Vo Apne Rab Ke Paas Zinda He Rozi Pate He.
📚(SURA E AALE IMRAN, AAYAT-169)

Is Aayat Se Awwal Tou Ye Hi Sabit Ho Gaya Ki Jo Shaheed Huwe Woh Isi Tarah ALLAH Ke Yaha Zinda Hai, Bas Is Duniya Wale Ko Iska Sha'ur Nahi. Aur Hadees Me Tou Hai Ki Kisi Ki Maut Par 3 Din Se Zyada Gham Na Kare, Agar Shaheedo Ki Maut Ko Maut Samaj Kar Gham Bhi Kiya Jaye Tou Woh Bhi Is Duar Me Mumkin Nahi, Kyunki Hadees Me Gham Ke Din Sirf 3 Bataye Gaye Hai, Jab Shohda E Karbala Ko Aaj 1300 Se Zyada Ho Gaye. Fakhr Is Baat Par Karna Chahiye Ki Jin Yazeedio Ne Us Daur Me Islam Ki Roshni Ko Bujana Chaha Use Us Jannat Ke Nau-jawano Ke Sardar Hazrate Hussain Radiyallahu Anhu Ne Apne Khoon Se Us Chirag Ko Jalaya Aur Islam Ki Roshni Bakhshi Jinki Badolat Aaj Hum Tak Aasani Se Islam Pahucha Hai.

Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Irshad Farmate He Ki Shaheed Ko Qatl Ki Bas Itni Hi Taklif Hoti He Jitni Chinti Ke Katne Se Hoti He Warna Maut Ki Taklif Ke Bare Me Riwayat He Ki Kisi Ko Agar 1000 Talwar Ke Zakhm Diye Jaaye To Iaki Taklif Maut Ki Taklif Se Kahi Zyada Halki Hogi Or Allah Ke Yaha Use 6 Inamat Diye Jate He.
📚(SHARAHUSSUDOOR, SAFA-31)

Huzur Sallallahu Alaihi W Sallam Ne 3 Din Se Zyada Shog Manane Se Mana Farmaya He.
📚(BUKHARI SHAREEF, J-2, S-804)
📚(MISHKAAT SHAREEF, J-1, S-486)

👉Aaiye Dekhte He Muharram Ki 10 Tarikh Ko Kya Kya Huaa.

1.  Hazrat Sayyadna Aadam Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi.

2.  Hazrat Sayyadna Yunus Alaihissalam Ki Tauba Qubool Huyi Aur Aap Machhli Ke Peit Se Baahar Aaye.

3.  Hazrat Sayyadna Nooh Alaihissalam Ki Kashti Joodi Pahaad Par Thahri,us Din Shukrane Ke Taur Par Aapne Roza Rakha Aur Tamam Ko Roza Rakhwaya.

4.  Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Paida Hue.

5.   Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Paida Hue.

6.   Hazrat Sayyadna Eesa Alaihissalam Paida Hue.

7.   Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Qaid Se Baahar Aaye.

8.   Hazrat Sayyadna Ibraheem Alaihissalam Par Aag Gulzar Huyi.

9.   Hazrat Sayyadna Ayyub Alaihissalam Ne Shifa Paayi.

10. Hazrat Sayyadna Yaqoob Alaihissalam Ki Aankhon Ki Raushni Wapas Aayi.

11. Hazrat Sayyadna Yusuf Alaihissalam Kunwe Se Baahar Nikle

12. Hazrat Sayyadna Suleman Alaihissalam Ko Baadshahat Mili.

13. Hazrat Sayyadna Moosa Alaihissalam Jaadugaro Par Gaalib Aaye

14. Hazrat Sayyadna Idrees Alaihissalam Jannat Me Pahunche.

15. Firaun Ka Lashkar Gark Hua.

16. Pahli Baar Baarish Huyi.

17. Aasman Kursi Kalam Pahaad Samandar Sab Isi Din Paida Hue

18. Isi Din Ashaabe Kahaf Karwatein Badalte Hain

19. Qayamat Isi Din Aayegi.

20. Aur Sayyadna Imaam Husain Raziyallahu Taala Anhu Ki Shahadat Huyi.

📚Jaame Sageer,jild 5,safah 34/226

📚Ajaybul Makhtuqat,safah 44

📚 Guniyatut Talebeen,jild 2,safah 53

📚Nuzhatul Majalis,jild 1,safah 145

 Isliye Yahi Mahina Islami Naye Saal Ka Pahla Mahina Qaraar Paaya,ab Sochiye Ki Jis Din Jis Mahine Kitne Hi Azeem Kaam Murattab Hue Agar Us Mahine Yaani Islami Naye Saal Ki Koi Mubarak Baad Pesh Kare To Kya Harj He ?

✍️Pathan Moin Raza Azhari, Petlad

🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp

============➖➖➖➖==========

Post a Comment

0 Comments