اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 08 ↡Aqeeda Farishto ke Baare Main↡ •─────────────• ⚘ AQEEDA ⌬ ➤Farishte Gunahon se Masoom hote hai, Woh sirf unhi kaamon mein lage rehte hai jo Allah Ta’ala Ne Un ke Supurd kiya hai aur us Mein Zarrah barabar bhi kami nahi karte hai Jaisa ki Allah Ta’ala ne irshad Farmaya.... لَّا یَعْصُوۡنَ اللہَ مَاۤ اَمَرَہُمْ وَ یَفْعَلُوۡنَ مَا یُؤْمَرُوۡنَ ⚘ Tarjuma ⌬ ➤Woh Farishte Allah ka hukm nahi Taalte, aur sirf wahi kaam karte hai jis ka unhein hukm diya jaata hai 📬 SuraH Tahrim,Aayat No.6 📚 ⚘ ⌬ ➤ Es Aayat e karima se Maloom Hogaya ki Farishte Gunahon se Masoom Hote hai aur woh sirf Wahi kaam karte hain Jo unhein Allah Ta’ala Hukm deta hai aur un se is mein koi bhool chuk bhi nahi hoti, is liye jo shakhs kisi Farishta ke bare mein ye kahe ki un hone galti se ye kaam kardiya ya un se bhool chuk mein ye kaam hogaya jaise ki kuchh log keh dete hai ki Hazrat-e-Jibrail ko Allah ka paigam le kar Hazrat-e-Ali ke paas jaana tha magar woh galti se Huzur ﷺ ke paas le kar chale gaye to woh quran ka inkaar karne wala aur kaafir hai..✍ 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments