Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Saabir Piya, Makhdoom-ul-aalam

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَرَسُوۡلَ اللهﷺ
اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَحَبِيۡبَ‌اللهﷺ

Hazrat Khwaja Sayyed Ala-ud-deen Ali Ahmad Saabir Kaliyari rahmatullāhi alaihi

Alqab:-Saabir Piya, Makhdoom-ul-aalam. *************

Aap ki wilaadat 19 Rabi ul awwal 592 Hijri (22 February 1195 A.D.) ko Kotwaal (Multan) me hui. Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Abdul Raheem bin Sayyed Saif-ud-deen Abdul Wahaab bin Ghauṡ e aazam Sayyed Abdul Qaadir Jilani rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Bibi Haajra urfe Jameela Khaatoon bint Jamaal-ud-deen Sulaimān hai. Aap Hasani saadaat hain. Aap ke waalidain 591 Hijri (1194 A.D) me Hindustan tashreef laaye.
 *************
 Jab Aap ki wilaadat hui to pura makaan Noor se roshan ho gaya. Jab dhoodh pilaane waali Daaya ne Aap ko haath me liya to us ke haath me bahot sakht jalan hone lagi. Us ne Aap ki waalida se is ki shikaayat ki. Aap ki waalida ne farmaaya ke “Jaao, pehle wuzu kar lo warna is bachhe ko haath me na le sakogi. Yeh bachha ALLĀH ka mehboob wali hai aur is ki paidaish ALLĀH ki mashiyat ka raaz hai.” Phir jab Daaya ne wuzu kiya aur Aap ko haath me liya to Daaya ko koi takleef na hui.
 *************
 Aap ke waalid ke inteqaal ke baad 600 Hijri (1204 A.D.) me aap ki waalida Aap ko Pakpattan parwarish ke liye apne bhai Baba Fareed Mas'ood Ganje shakar rahmatullāhi alaihi ke paas le gai aur Aap ko un ki khidmat me rakha. Kuchh arse baad aap ki waalida Aap se milne aai to dekha ke Aap kuchh kamzor ho gaye hain. Unho ne Baba Fareed se shikaayat ki to unho ne farmaaya ke ‘Maine use langar ki zimmedaari di hai. Is liye use khaana khaane ki koi pareshaani nahi honi chaahiye.’ Jab Aap se puchha gaya to Aap ne farmaaya ke “Mujhe langar ki zimmedaari di gai hai. Lekin mujhe us me se khaane ke liye nahi kaha gaya.” Phir jab puchha ke “Tab tum kya khaakar guzaara karte ho?” To aap ne farmaaya ke “Jab main faarigh hota hu to jangal me chala jaata hu aur waha jo kuchh khaane ke liye mile khaa leta hu.” Is ke baad Aap ‘Saabir’ (Patient) ke naam se mash'hoor ho gaye.
 *************
 Aap ne Baba Fareed rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki. Aap bahot hi zaheen the aur hamesha ibaadat aur zikre ilāhi kiya karte the. Aap jab bade hue to aap ki waalida ne Baba Fareed ko apni beti Khadeeja ka nikaah Saabir piya se karane ke liye guzaarish ki. Baba Fareed ne farmaaya ke “Yeh munaasib nahi hai kyun ki Saabir tasawwuf aur ishq e ilāhi me kho chuka hai. Jab tak wo nikaah karna na chaahe tab tak ye mumkin nahi hai.” Magar is ke baad Aap ki waalida ke baar baar israar karne par Baba Fareed ne apni beti ka nikaah Saabir piya se karaaya. Raat ko jab Aap apne kamre me gaye to Aap ne puri raat muraaqaba aur ibaadat o riyaazat me masroof rahe. Aakhir me Aap ki biwi ne Aap se puchha ke “Aap meri taraf dekhte kyun nahi? Main Aap ki biwi hu.” Aap ne farmaaya ‘Yeh kaise mumkin hai ke mere dil me do cheez ki mohabbat ek saath rahe, Jab ke main to ek ki mohabbat me goom ho chuka hu.” Yeh kehkar Aap ne apni biwi ki taraf dekha to woh us noor ki tajalli bardaasht na kar saki aur jalne lagi.
 *************
 649 Hijri (1253 A.D.) me Baba Fareed ne Aap ko Kaliyar ke wali aur nigehbaan banakar bheja. Aap jab Kaliyar pahunche to Gulzari naam ki ek aurat ke waha thehre. Aap ne Kaliyar me ta’aleem e deen shuru ki. Kaliyar ka Qaazi Tabrak Aap se hasad rakhta tha. Ek baar Jumeraat ko jab Aap masjid me taqreer farma rahe the, tab Tabrak ke kehne par raees e Kaliyar ne aakar Aap se kaha ke “Meri bakari 3 mahine pehle goom ho gai hai. Agar tum us ke baare me bata sakte ho to ham tumhe apna Imaam maanenge.” Aap ne aasman ki taraf dekhkar farmaaya “Jinho ne is ki bakari ko khaaya hai wo sab aage aa jaaye.” 27 aadami waha aa pahunche. Lekin unho ne is se inkaar kiya. To Aap ne raeese Kaliyar ko us ki bakari ko pukaarne ke liye kaha. Us ne kaha “Harmana Harmana! Tum kaha ho?” Tab un logo ke pait me se bakari bolne lagi ke “Mujhe ye log maarkar khaa gaye hain.” Phir bhi wo log Aap ko pareshaan karte rahe. Ek baar Aap namaaz e jum’ah ke liye masjid me gaye aur pehli saf me khade hue to us ne Aap ko pichhe jaane ke liye kaha aur kaha ke “Aage ki saf me sirf ameer log namaaz padhenge.” Jab sab log sajde me gaye to Aap ne masjid se farmaaya ke “Sab log sajda kar rahe hain, tu bhi sajda kar le.” Yeh sunkar masjid jhukkar gir gai aur waha maujood sab log us ke neeche dab gaye. Jab Gulzari ko pata chala to woh bhaagkar masjid me aai kyun ki us ka beta bhi waha namaaz padhne ke liye aaya tha. Aap ne use apne bete ko un murdo ke bich me se baahar nikalne ke liye kaha. Us ne apne bete ko talaash karke nikaala to dekha ke woh zinda ho gaya tha. Is ke baad Aap ne 12 saal tak ek guler ke darakht ke neeche khade hokar ibaadat wa riyaazat ki.
 *************
 Aqwal 
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
 Aap irshaad farmaate hain :
(1) Agar aa’la martaba paana chaahte ho to Saadgi aur Sachai apnaao.
(2) Murshid ke paas mureed ki khaamiyo ko sudhaarkar raahe haq dikhaane ki salaahiyat honi chaahiye.
 *************
 Aap Hazrat Baaba Fareed-ud-deen Mas'ood Ganje-Shakar Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aap se ‘Chishti Saabri’ silsila jaari hai. Aap ke khalifa Hazrat Khwaja Shams-ud-deen Turk Panipati rahmatullāhi alaihi hain.
 *************
690 Hijri (1291 A.D.) Aap ne Khwaja Shams-ud-deen Turk ko Chittor jaakar Sultaan Ala-ud-deen Khilji ko Amber ka Qila fatah karne me madad karne ke liye farmaaya aur farmaaya “Jis din tum apni pehli karaamat zaahir karoge usi din tumhare peer ka inteqaal hoga.” Sultan Ala-ud-deen Khilji ki iltija par Khwaja Shams-ud-deen Turk ne dua farmai aur un ki dua se qila fateh hua. Magar Khwaja Shams-ud-deen Turk Kaliyar waapas aaye to Saabir piya ka wisaal ho gaya tha.
 *************
 Hazrat Saabir piya rahmatullāhi alaihi ke ek mureed ne Aap se sawaal kiya ke “Aap mujhe samjhaa'iye ke ‘Fana aur Baqa kya hai?” Aap ne use kaha ke “Tum kuchh din intazaar karo, main baad me tumhe bataunga.” Us ke kuchh din baad Aap ka inteqaal ho gaya. Aap ne wisaal se pehle wasiyat ki thi ke “Mere inteqaal ke baad mujhe ek kamre me rakh dena aur kuchh waqt guzarne ke baad ek naqaab-posh shakhs aakar mera ghusl aur takfeen karega. Is ke baad wo hi meri namaaz e janaaza padhaega.” Logo ne aisa hi kiya. Aap ko ek kamre me rakh diya. Kuchh der baad ek naqaab-posh shakhs aaya aur kamre me jaakar Aap ko ghusl diya aur takfeen kiya. Phir baahar aakar us ne namaaz e janaaza padhaai aur jab ghode par sawaar hokar jaane lage to us mureed ne use roka aur kaha ke “Aap kaun hain yeh to hume bataa'iye ya kam se kam apna naqaab hataakar apna chehra dikha de to hame pata chale ke hamare peer ki namaaz e janaaza kis ne padhaai?” Tab us naqaab-posh shakhs ne apna naqaab uthaaya to sab ne dekha ke woh shakhs ‘Hazrat Saabir piya’ hi the. Jab mureed ne herat se puchha ke “Yeh kya muamala hai?” to Hazrat Saabir piya ne use kaha ke “Kuchh din pehle tum ne puchha tha ke Fana aur Baqa kya hai aur Maine kaha tha ke tujhe kuchh din baad bataunga. To yeh mera jawaab hai. Jo janaaze me leta hai woh ‘fana’ hai aur jo tere saamne khada hai woh ‘baqa’ hai.”
 *************
 Aap ka wisaal 13 Rabi ul awwal 690 Hijri (16 March 1291 A.D.) ko 98 baras ki umr me hua. Aap ka mazaar Kaliyar (Uttarakhand) me hai. *************
 Aap ke Mazaar shareef ke bilkul saamne Hinduo ne ek Mandir bana liya aur waha pooja shuru kar di. Is ke baad un log ne Aap ke mazaar ko shaheed karna ka iraada kiya. Magar mazaar ki hifaazat ke liye sher zaahir ho jaate aur wo Hunud apne maqsad me nakaam rehte. Ek din Mandir ka maalik Aap ke mazaar ko shaheed karne ke iraade se aaya. Us ne dekha ki saamne 2 sher baithe hain. Woh himmat karke khada raha to wo sher hat gaye. Woh Kaafir aage badha to achaanak bijli chamki aur tham gai. Aakhir me woh mazaar shareef tak pahuncha aur us ne deewaar me surakh karke apna sar andar daala. Jaise hi us ne apni gardan daali ke woh phans gaya aur nikal na saka. Saabir piya ne Aastaana shareef ke khaadimo ko bashaarat di ke “Ek soovvar mere mazaar par mara pada hai. Use nikaal kar phenk do.” Bashaarat milte hi Khaadim mazaar shareef par haazir hue. Us Kaafir ka munh us suraakh se nikaala to dekha ke waaqai us ka munh soovvar ka ho gaya tha.
 *************
 ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Khwaja Saabir piya rahmatullāhi alaihi ke aur Ahle bait aur Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.



Share on: |


Post a Comment

0 Comments