اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 32 ↡ Aqeeda Aakhirat ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘ ⌬ ➤ Allah Ta’ala Ke Elawah Har Chiz ko Ek Na Ek Din Fana ( Khatm) Hona Hai, irshaad-e-Baari Ta’ala hai Allah ki Zaat Ke Elawah Har Chiz Fana Hone Wali Hai 📚 SuraH Qasas,Aayat No.88 ⚘ ⌬ ➤ Aur irshaad-e-Baari Tal’aa Hai Har Jaan ko Maut ka Maza Chakhna Hai 📚 SuraH Ambiya,Aayat No.35 ⚘ ⌬ ➤ Marne Ke Baad insaan ki Rooh Aalam-e-Barzakh Mein Rehti Hai Phir Jab Qayamat Qayam Hogi Aur Duniya Ki Har Chiz Toot Phoot Kar Fana Ho Jaaegi Toh Jab Tak Allahﷻ Chaahega Usi Haal Par Chhode Rakhega Phir logon ko Dobara Zinda Farmaaega Aur Uske Baad Hisaab Kitaab Aur Dusri Chizein Anjaam Paaengi Aur Phir Akhiri Thikane Ke Taur Par Musalmaan Hamesha Ke Liye Jannat Mein Aur Kuffar-o-Mushrikeen Hamesha Jahunnum Mein Chale Jaaenge Inhi Sab Chizon Ke Majmue Ko “Yaum-e-Akhirat” Kaha Jata Hai Is Par imaan Lana Zaruri hai Aur iska inkaar Karne Wala Kaafir hai Jaisa ki Farmaan-e-baari Tala’a hai وَمَنۡ یَّکْفُرْ بِاللہِ وَمَلٰٓئِکَتِہٖ وَکُتُبِہٖ وَرُسُلِہٖ وَالْیۡوْمِ الۡاٰخِرِ فَقَدْ ضَلَّ ضَلٰلًۢا بَعِیۡدًا ⚘TARZUMA ⌬ ➤ Aur Jo Na Maane Allah, Uske Farishte, Uski Kitaabon, Uske Rasoolon Aur Akhirat Ke Din Ko Toh Woh Door Ki Gumaraahi Mein Pada 📚SuraH Nisaa,Aayat No. 136 ⚘ ⌬ ➤ Yaum-e-Aakhirat se Muta’alliq Bahut Saari Chizein Main is liye Har Ek Ko Alag Alag Chapter Mein Bayan Kiya Jaata hai... 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments