بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
•────────────• Quraan Majeed Aur Ahadees E Kareema Me Jabaja Namaaz Ki Pabandi Ka Hukm Diya Gaya Hai. Irshaad E Bari Ta'ala Huwa " Aur Namaaz Qayam Rakho Aur Zakaat Do Aur Ruku karne walon ke saath Ruku Karo" 📗(AlBaqara : 43, Kanzul Imaan Fi Tarjamul Quran) Dusri Jagah Irshaad Farmaya : "Nighebani karo Sab Namazao ki Aur Beech Ki Namaaz (Asr) ki". 📗(AlBaqara : 238, Kanzul Imaan Az AalaHazrat Imam Ahmed Raza Bareilvi Rehmutullah Alaih). Ek Aur Muqaam Per Farmaya Gaya "Aur Namaaz Qayam Rakho Din Ke Dono Kinaro Aur Kuch Raat ki Hisso Mein" 📗(Hud : 114, Kanzul Imaan) Din ke Dono Kinaro se Subha O Shaam muraad hai Zawaal se Qabal ka waqt subha mein Aur ba'ad ka Shaam mein dakhil hai. Subha Ki Namaaz Fajr Aur Shaam ki Namaaz Zohar O Asr hain Aur Raat Ke Hisso Ki Namaazien Maghrib O Isha hain. (📚 Tafseer Khazain Ul Irfa'an) 📘Hawla:-Namaz ki Kitab 📝Musanif:-Khalifa E Huzoor Mufti e Azam e Hind Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma. |
Share on |
0 Comments