Hazrat umne Salma Radiallahuta'alaana
In Ka Naam "Hind" Aur Kunniyat "Umme Salma" Hai. Lekin Ye Apni Kunniyat Hi Ke Sath Ziyadah Mashoor Hain. Inke Walid Ka Naam "Huzaifah" Ya "Suhail" Aur Unki Walida "Aatika Bint Aamir" Hain.
Ye Pehle Abu Salma Abdulla Bin Asad Se Biyahi Gayi Thi Aur Ye dono Miyan Biwi Musalmaan Ho Kar Pehle "Habsha" Hijrat Kar Gaye. Phir Habsha Se Makka Mukarrama Chale Aaya.Aur Madina e Munawwara Ki Taraf Hijrat Karne Ka Irada Kiya.
Chunanche Abu Salma Ne Oont Per Kajawah Bandha Aur Bibi Umme Salma Ko Oont Per Sawaar Karaya Aur Woh Apne Doodh Pite Bachche Ko Goad Me Le Kar Oont Per Baith Gayen. To Ek dam Hazrat Umme Salma Ke Maike Wale Banu Mughaira Dhoudh Padhe Aur Un Logon Ne Ye Keh Kar Ke Hamare Khandaan Ki Ladki Madina Nahi Ja Sakti. Hazrat Umme Salma Ko Oont Se Utaar Liya. Ye Dekh Kar Hazrat Abu Salma Ke Khandaan Walon Ko Taish Agaya Aur Un Logon Ne Hazrat Umme Salma Ki Goad Se Bachche Ko Cheen Liya, Aur Ye Kaha Ke Ye Bachcha Hamare Khandaan Ka Hai Isliye Ham Is Bachche Ko Hargiz Hargiz Tumhare Pass Nahi Rehne Denge. Is Tarha Biwi Aur Bachche Dono Hazrat Abu Salma Se Juda Ho Gaye.
Magar Hazrat Abu Salma Ne Hijrat Ka Irada Nahi Choda Balke Biwi Aur Bachche Dono Ko Khuda Ke Supurd Karke Tanha Madine Munawwara Chale Gaye.
Hazrat Umme Salma Shohar aur Bachche Ki Judayi Per Din Raat Roya Karti Thi. Unka Ye Haal Dekh Kar Unke Ek Chacha Zaad Bhai Ko Raham Agaya Aur Usne Banu Mughaira Ko Samjhaya Ke Aakhir Is Gareeb Awrat Ko Tum Logon Ne Uske Shohar Aur Bachche Se Kyun Juda Kar Rakha Hai?
Kya Tum Log Ye Dekh Nahi Rahe Ho O Ek Patthar Ki Chataan Per Ek Hafte Se Akeli Baithi Huwi Bachche Aur Shohar Ki Judayi Me Roya Karti Hai.
Aakhir Banu Mughaira Ke Log Is Per Raza Mand Hogaye. Ke Umme Salma Apne Bachche Ko Lekar Apne Shohar Ke Pass Madina Chali Jayen. Phir Hazrat Abu Salma Ke Khandaan Walaon Ne Bhi Bachche Ko Hazrat Umme Salma Ke Supurd Kar Diya.
Aur Hazarat Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Bachche Ko Goad Me Le Kar Hijrat Ke Irade Se Oont Per Sawaar Hogayeen.
Magar Jab Maqam "Taneem" Me Pahonchen To Usman Bin Talha Raste Me Mila Jo Makke Ka Mana Huwa Ek Nihayat Hi Shareef Insaan Tha.
Usne Pucha Ke..
Umme Salma..! Kahan Ka Irada Hai?
Inhone Kaha Ke My Apne Shohar Ke Pass Madina Ja Rahi Hoon.
Usne Kaha Ke Kya Tumhare Sath Koi Dosra Nahi Hai?
Hazrat Umme Salma Ne Dard Bhari Aawaaz Me Jawaab Diya..
Nahi, Mere Sath Mera Allah Aur Mere Bachche Ke Siwa Koi Dosra Nahi Hai.
Ye Sun Kar Usman Bin Talha Ko Sharifana Jazba Agaya. Aur Usne Kaha Khuda Ki Qasam Mere Liye Ye Zaib Nahi Deta Ke Tumhari Jaisi Ek Shareef Zaadi Aur Shareef Insaan Ki Biwi Ko Tanha Choddon.
Ye Kehkar Usne Oont Ki Mihaar Apne Hath Me Li Aur Paidal Chalne Laga.
Hazrath Umme Salma ka Bayaan Hai Ke Khuda Ki Qasam Myne Usman Bin Talha Se Ziyadah Shareef Insaan Arab Me Kisi Ko Nahi Paya.
Jab Ham Kisi Manzil Per Utarte To O Alag Door Ja Kar Kisi Darakht Ke Niche So Rehta Aur My Apne Oont Per So Rehti.
Phir Chalne Ke Waqt O Oont Ki Mihaar Hath Me Le Kar Paidal Chalne Lagta.
Isi Tarha Usne Mujhe "Quba" Tak Pahoncha Diya Aur Ye Kehkar Wapis Makka Chala Gaya Ke.. Ab Tum Chali Jao Tumhara Shohar Isi Gaon Me Hai.
Chunanche Hazrath Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Ba Khairiyat Madina Pahonch Gayen.
(Zarqani, Jild :3,Safa :239)
Phir Dono Miyan Biwi Madine Me Rehne Lage. Chand Bachche Bhi Hogaye To Hazrath Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Badi Bekasi Me Padh Gayee(n). Chand Chote Chote Bachchon Ke Sath Bewagi (Bewa Ki Halat) Me Zindagi Basar Karna Dushwaar Ho gaya. Unka Ye Haal e Zaar Dekh Kar RasoolAllah صلى الله علیه و سلم Ne Unse Nikah Farma Liya. Aur Bachchon Ko Apni Parwarish Me Le Liya Is Tarha Ye Huzoor صلى الله علیه و سلم Ke Ghar Aagayee(n) Aur Tamam Ummat Ki Maa Ban Gayee(n).
Hazrat Bibi Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Aql O Fahem, Ilm O Amal, Diyanat O Shuja'at Ke Kamal Ka Ek Be-Misaal Namuna The(n). Aur Fiqha O Hadees Ki Malumaat Ka Ye Alam Tha Ke Teen Saw Athehattar(378) Hadeesen Inhe Zubani Yaad Thi.
Madine Munawwara Me Chourassi(84) Baras Ki Umr Pa Kar Wafaat Payi. Inke Wisaal Ke Saal Me Bada Ikhtelaaf Hai. Baaz Morikheen Ne 53 Sane Hijri Baaz Ne 59 Sane Hijri Baaz Ne 62 Sane Hijri Likha Hai.Aur Baaz Ka Qoul Hai Ke Inka Inteqaal 63 Sane Hijri Ke Baad Huwa Hai. Inki Qabr Mubarak Jannat ul Baqi Me Hai.
(Zarkhani Jild 3 Safa 238 - Safa 242)
Allahu Akbar..Hazrath Bibi Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Ki Zindagi Sabr O Isteqamat Jazba e Imaani Josh e Islami, Zahidana Zindagi, Ilm O Amal, Mehnat O Jafakashi Aql O Feham Ka Ek Aysa Shahkara Hai Jiski Misaal Mushkil Hi Se Mil Sakegi.
Inke Kaarnamon Aur Bahadduri Ki Dastanon Ko Tareekh e Islam Ke Awraaq Me Padh Kar Ye Kehna Padhta Hai Ke..
Aye Aasman..! Bol... Aye Zameen...! Bata.
Kya Tumne Hazrath Umme Salma RAdiAllahuTa'alaAnha Jaisi Sheer Dil Aur Paikar e Imaan Awrat Ko Unse Pehle Kabhi Dekha Tha.?
Maa - Behno!
Tum Pyare Nabi Ki Piyari Biwiyoun Ki Zindagi Se Sabaq Hasil Karo.. Aur Khuda Ke Liye Socho Ke O Kya The(n)?
Aur Tum Kya Ho?
Tum Bhi Musalmaan Awrat Ho. Khuda Ke Liye Kuch To Unki Zindagi Ki Jhalak Dikhao!.
By:- kaneez E AalaHazrat
0 Comments