Hazrat Zainab Bint Khuzaima Radiallahuta'alaana
Ye Bachpan Hi Se Bahot Sakhi The(n). Gareebon Aur Muskinon Ko Dhoond Dhoond Kar Khana Khilaya Karti The(n). Isliye Log Unko Ummul Masakeen (Miskinon Ki Maa) Kaha Karte The.
Pehle Mashoor Sahabi Hazrath Abdullah Bin Jahash RadiAllahuTa'alaAnhu Se Inka Nikah Huwa Tha. Lekin Jab Woh Jang E Ohad Me Shaheed Hogaye To Huzoor ﷺ Ne 3 Sane Hijri Inse Nikah Kar Liya. Aur Ye Ummul Masakeen Ki Jagah Ummul Momineen Kehlane Lage.
Magar Ye Huzoor se Nikah Ke Baad Sirf 2 Ya 3 Mahine Zinda Rahen. Aur Rabi ul Awwal 4 Sane Hijri Me Ba-Maqam Madine Munawwara Wafat Pagaye. Aur Jannatul Baqi Me Azwaje Mutahrat Ke Pehlu Me MaDafoon Huwe.
Huzoor ﷺ Inki Wafat Tak Inse Behad Khush Rahe Aur Inki Wafat Per Qalb e Nuzuk Per Bada Sadma Guzra.
Ye Maa Ki Janib Se Hazrat Ummul Momineen Bibi Maymuna RadiAllahuTa'alaAnha Ki Behan Hain. Inki Wafat Ke Baad Huzoor ﷺ Ne Inki Behan Hazrath Maymuna RadiAllahuTa'alaAnha Se Nikah Farmaya.
(Zarkhani, Jild 3, Safa 249)
0 Comments