Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Peer Allama Mufti Manzoor Ahmad Faizi Chishti rahmatullāhi alaihi

Hazrat Peer Allama Mufti Manzoor Ahmad Faizi Chishti rahmatullāhi alaihi :
__________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Munaazir-e-Aazam, Bayhaqi-e-Waqt.

****************
Aap ki wilaadat 2 Ramazaan 1358 Hijri (16 October 1939 A.D.) ko Basti Faizabad, Uch (Zila Bahawalpur, Punjab) me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Allama Maulana Mohammad Zareef Faizi bin Allama Ilāhi Bakhsh Qaadri rahmatullāhi alaihi hai.

Aap ke waalid aur daada Aalime deen the.

****************
Aap ke waalidain ko koi aulaad nahi thi. Aap ke waalid ne Hazrat Khwaja Faiz Muhammad Shaah-Jamali rahmatullāhi alaihi se aulaad ke liye dua ke liye arz ki. Unho ne farmaaya ke “Tum aaj ki raat yaha guzaaro. Tumhari darkhwaast Huzoor Imaam ul Ambiya sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me pesh kar denge. Ummeed hai ke tumhari darkhwaast  manzoor hogi.” Subah hui to Hazrat ne farmaaya “Tumhari darkhwaast manzoor ho gai hai aur tumhe Manzoor Ahmad ata hoga.”

****************
6 Moharram 1362 Hijri ko 4 saal, 4 mahine aur 4 din ki umr me Jaame Masjid Sandila, Zila Dera Ghazi Khan me Hazrat Khwaja Faiz Muhammad Shah-Jamali ne Aap ki Bismillāh khwaani karaai.
Apne waalid Hazrat Allama Maulana Mohammad Zareef Faizi se Aap ne Qur’an, Faarsi, Sarf, Nahaw, Fiq'h, Usoole Fiq'h, Mantiq, Mishkaat shareef, Jalaalain ki ta’aleem haasil ki.
Phir Ghazaali e zamaan Hazrat Allama Sayyed Shaah Ahmad Saeed Kaazimi rahmatullāhi alaihi se Hadeeṡ aur deegar uloom ki ta’aleem haasil ki.
17 Shawwaal 1378 Hijri (26 April 1959 A.D.) ko Jaame Anwaar-ul-Uloom, Multan se Aap ne Sanade Faraaghat haasil ki. Jalsa e Dastaar e Fazeelat me Ahle nazar ne Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat ki.

**********************
Aap azeem Aashiqe Rasool the.
Jab bhi Aap Huzoor Pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ka naam mubarak lete ya sunte to aankhen pur nam ho jaati aur kaafi der tak wajdaani kaifiyat taari rehti.
Aap kai martaba Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat se faizyaab hue.

Aap ilm o amal, zohad o taqwa, ibaadat o riyaazat me bemiṡaal the.
Aap Shaikh-ul-Qur’an wa Hadeeṡ, Faqeeh e asr, benazeer wa azeem Munaazir aur Khateeb  the. Aap ne ta’aleem wa tadrees aur tasannif ke zariye Ahle sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki hai.
Aap ka mutalla aisa tha ke tamaam funoon par gehri nazar thi aur haafiza aisa tha ke kitaabo ke safahaat ke saath sataren tak yaad hoti thi.
Aap jab taqreer farmaate to majma par sukoon wa sukoot ki kaifiyat taari rehti aur Aap ki baat sidhe saami'een ke dilo par aṡar karti.
Aap ki ta’aleem wa faiz ki barkat se kai log hidayat paakar ba-amal ho gaye aur kitne log to behtareen munaaair bhi ban gaye.
Kai martaba Gustaakhe Rasool ko munaazare me shikast di thi. Ek waqt me kai mauzoo'aat par munaazare ke liye bhi tayyaar rehte the.
Apne ilm wa faiz ki wajah se barr-e-sagheer aur puri dunya ke ulama wa masha'ikh ke manzoore nazar rehte.

**********************
Hazrat Maulana Aarif Ahmadpuri Saahibe kashf the. Ek martaba unho ne irshaad farmaaya “Aaj Hazrat Khizr alaihi salaam tashreef laaye the aur Hazrat ke pichhe namaaz e jum’aa ada farmai. Aainda jum’aa ko bhi Hazrat ki azmat zaahir karne ke liye Hazrat Khizr alaihi salaam tashreef laayenge.” Agle Jum’aa ko bhi Hazrat Khizr alaihi salaam tashreef laaye aur bahot se Hazraat ne un se musaafa karne ki sa’adat haasil ki.

**********************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
 (1) Fataawa Faizia
(2) Anwaar-ul-Qur’an
(3) Arba'oon Hadeeṡ-an-Nabaiyah
(4) Chel e Hadeeṡ
(5) Khasaa'is e Mustafa
(6) Zia e Meelaad un Nabi
(7) Barkat e Meelaad shareef
(8) Maqaam e Rasool
(9) Maqaam e Ahle Bait
(10) Maqaam e Sahaaba
(11) Nazariyaat e Sahaaba
(12) Maqaam e Wali
(13) Fazaa'il e Haramain
(14) Mukhtaar e Kul
(15) Noor ala Noor
(16) Ta’aroof e Mufassireen Muhaddeeṡeen
(17) Bustaan-ul-Muhaddeeṡeen
(18) Faizi naama
(19) Haashiya Kareema
(20) Tat'heer ul Jinaan
(21) Nabawi Duaen
(22) Kalimaat e Taiyyab
(23) Al-Qaul ul Sadeed
(24) Al-Haq ul Jali
(25) Ifhaam ul Aghbiya
(26) Kitaab-ul-Ilm
(27) Aqaa'id o Masaa'il
(28) Das segh Durood o Salaam
(29) Roohani Zewar
(30) Wuzu ki Shaan
(31) Alam ul Asr Bihukm e Sunnatil Fajr
(32) Maqaam e Waalidain
(33) Wahaabi k Taarikh aur Pehchaan
(34) Gustaakhaan e Mustafa ki Jaami Talaashi
(35) Islaam aur Daadhi
(36) Fazaa'il e Habeeb-ur-Rahmān
(37) Kitaab-ud-Daawat wa Azkaar
(38) Five Ahaadeeṡ.

**********************
Aap ke 3 saahabzaade hain :
(1) Mufti Muhammad Mohsin
(2) Maulana Muhammad Hasan
(3) Maulana Muhammad Husain.

********************
Aap Hazrat Khwaja Faiz Muhammad Shah-Jamali rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aur ‘Chishti Nizaami Faizi’ silsila ke shaikh hain.
Hazrat Khwaja Ghulaam Yāseen Chishti Shah-Jamali rahmatullāhi alaihi, Hazrat Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi, Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani Razawi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Ghazaali e zamaan Allama Sayyed Shaah Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi, Hazrat Qutb-e-Makka Sayyed Mohammad Ameen rahmatullāhi alaihi, aur Hazrat Shaikh-e-Madeena Ala-ud-deen Madani Bikri rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ke Khulfa :
(1) Hazrat Allama Soofi Hafeez-ud-deen Haidar
(2) Hazrat Allama Sayyed Ghayaaṡ-ud-deen Shaah
(3) Hazrat Allama Saahibzaada Nizaam-ud-deen Fareedi
(4) Hazrat Maulana Qubool Ahmad.

**********************
Aap ka wisaal 1 Jamaadi-uṡ-Ṡaani 1427 Hijri (27 June 2006 A.D.) ko Shabe Budh Azaane Ishaa ke waqt 8 :45 baje hua.

Aap ka Mazaar Ahmadpur Sharqia (Punjab, Pakistan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Mufti Manzoor Ahmad Faizi Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko Mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke imaan ki Hifaazat farmae aur Sab ko Nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko Duniya wa Aakhirat me Kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments