*****************
Aap ki wilaadat 11 Rabi-ul-awwal 1336 Hijri (27 December 1918 A.D.) ko Peer ke roz Nander, Hyderabad me hui.
Aap ke waalid ka naam Ghulaam Jeelaani bin Mohammad Noor-ud-deen hai.
****************
Aap ne apne waalid se ibtidai ta’aleem haasil ki aur 14 saal ki umr me Haafiz e Qur’an hue. Aur Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez Mubarakpuri rahmatullāhi alaihi se sanad haasil ki.
Hazrat Haafiz e Millat ke mashware 1354 Hijri (1935 A.D.) me Aap Mubarakpur jaakar Madrasa Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom me Haafiz e Millat Abdul Azeez Mubarakpuri, Ṡanaullāh Aazami aur Muhammad Sulaimān Bhagalpuri se Hadeeṡ, Fiq'h aur deegar uloom ki ta’aleem haasil ki. 1362 Hijri (1943 A.D.) me Aap Haafiz e Millat ke saath Jaamia Arabia, Nagpur gaye aur waha Aap ko Dastaar-e-Fazeelat ata ki gai.
*******************
1358 Hijri (1939 A.D.) me Aap Haafiz e Millat ke saath Ghosi gaye aur us waqt Sadr-ush-Shariah Bareilly se Ghosi tashreef laaye the. Aap ne Sadr-ush-Shariah Maulana Amjad Ali Azami se Sahih Bukhari ta’aleem haasil ki aur phir naamaz e asr ke baad Aap Sadr-ush-Shariah ke mureed hue.
1365 Hijri (1946 A.D.) me Aap Sadr-ush-Shariah ke saath Nagpur mehfil e Na’at me gaye. Sadr-ush-Shariah ke farmaan par Aap ne Maulana Jaami ki naat padhi. Jise sunkar Sadr-ush-Shariah ki aankho me aansoo aa gaye aur usi jalse me unho ne Aap ko Khilaafat ata farmai.
****************
Hindustan ki aazaadi aur taqseeme mulk ke kuchh arse baad Aap Pakistan chale gaye. Kharadar me Aap Akhund Masjid me Imaam (Khateeb) bane. Phir Jodia Bazaar ki Khori Garden Masjid me Imaam bane.
40 saal tak Aap ta’eleem wa tadrees karte rahe.
Aap hamesha ba-wuzu talba ko ta’aleem dete.
Aap puri zindagi Islaam aur Ahle Sunnat wal Jamaat ki khidmat karte rahe.
Aap ne bahot saare Pakistani talba ko majeed ta’aleem ke liye Madarsa Qaadriya me Baghdad bheja.
Aap ke shaagirdo me Allama Mufti Sayyed Shaah Turaab-ul-Haq Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi, Allama Abdul Azeem Qaadri aur Maulana Muhammad Qaasim Bareilwi mash'hoor hain.
****************
Aap ke 3 saahabzaade aur 1 saahabzaadi hain :
Saahabzaade :
(1) Muhammad Moeen-ud-deen
(2) Muhammad Misbaah-ud-deen
(3) Muhammad Salaah-ud-deen.
Saahabzaadi :
Akhtar.
****************
Aap Hazrat Sadr-ush-Shariah Allama Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ko Huzoor Mufti-e-Aazam-e-Hind Muhammad Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Qutb-e-Madeena Allama Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi ne bhi khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Allama Mufti Sayyed Shaah Turaab-ul-Haq Qaadri Razawi rahmatullāhi alaihi (Karachi / Pakistan)
(2) Hazrat Allama Abdul Azeem Qaadri (Bangladesh).
****************
7 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1403 Hijri (23 March 23 1983 A.D.) ko dopahar ko Aap ki tabiyat na-saaz hui. Aap ne Kalma aur Durood shareef padhna shuru kar diya. Aap ko ambulance me haspataal le jaa rahe the tab dil ke daure ki wajah se Aap ka inteqaal hua.
Aap ka wisaal 7 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1403 Hijri (23 March 1983 A.D.) ko Budh ke roz hua.
Aap ki namaaz e janaaza Hazrat Allama Mufti Taaj-ush-Shariah Akhtar Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne padhai.
Aap ka mazaar Jodia Bazar, Kharadar, Karachi (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments