Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Khwaja Sayyed Shams-ud-deen Turk Panipati rahmatullāhi alaihi

Hazrat Khwaja Sayyed Shams-ud-deen Turk Panipati rahmatullāhi alaihi :
________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shams-ul-Ard (The Sun of Earth), Shehanshaah e Panipat.

*************
Aap ki wilaadat Turkstan me hui.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Ahmad hai.

Aap Hasani saadaat hain.

***************
Aap ne Qir’at, Tafseer, Hadees aur Fiqh ki taaleem haasil ki. Aur Haafiz e Qur’an hue.

12 Zil Hijja 658 Hijri (November 1260 A.D.) ko Paak Patan pahunche aur Baaba Fareed-ud-deen Ganje Shakar se Bai'at ke liye guzarish ki. Magar Baaba Fareed ne unhe Kaliyar jaakar Khwaja Makhdoom Saabir Piya ka mureed bankar Chishti silsile ka faiz haasil karne ke liye farmaaya.
Aap 21 durwesh ke giroh ke saath Kaliyar ke liye rawaana hue. Wo log Kaliyar se 24 mile ki doori par pahunche. Yeh woh ilaaqa tha jaha se koi bhi aage nahi ja sakta tha. Phir Hazrat Aleemullāh Abdaal waha aaye aur sab ko apne saath aage le gaye.
Jab sab log Hazrat Saabir piya ki baargaah me pahunche to Harzat Istighraaq me the. 21 din tak intazaar karne ke baad baaqi sab log waha se chale gaye. Us ke baad 22we din aap akele the is liye aap ne Tilaawat e Qur’an shuru kiya. Kuchh waqt ke baad aap thodi der ke liye rooke. Kuchh der baad Tilaawat e Qur’an ki aawaaz phir se shuru na hui to Hazarate Saabir piya ne wajah jaanne ke liye apni aankhen kholi. Jab unho ne dekha ke Hazrate Shams-ud-deen thak gaye hain to un ko baithkar Tilaawat e Qur’an shuru karne ke liye farmaaya. Aap ne jawaab diya “Mere Aaqa khade ho aur main baith jaau ye khilaaf e adab hai.” Yeh sunkar Saabir piya khud baith gaye aur un se puchha “Kya tumhe Baaba Fareed ne yaha bheja hai?” Aap ne kaha “Mere Aaqa behtar jaante hain.” Yeh sunkar Saabir piya ne farmaaya”Jis tarah aasmaan me ek sooraj hai usi tarah zameen par is faqeer ke paas ek sooraj hai.”
Phir Saabir piya ne Aap ko mureed banaaya aur aap ko Paak Patan waapas jaakar Baba Fareed ki khidmat karne ke liye farmaaya.

Aap waha gaye aur Baba Fareed ke farmaan par din ko jangal me lakdiya kaatkar jama karke bechte aur raat me ibaadat karte. Aap 4 saal ke tak Baba Fareed ki khidmat karte rahe.

Baba Fareed ke wisaal ke baad 12 Moharram 661 Hijri (November 1262 A.D.) ko jab aap waapas kaliyar aaye to aap ne dekha ke Saabir piya usi haal me gooler ke darakht ko pakadkar mujaahida me khade hain. Jab Saabir piya ko hosh aaya to aap ne un ko amaama shareef aur dusre tabarrukaat ata farmae aur Hazrat Khwaaja Nizaam-udd-een Auliya aur Hazrat Khwaaja Nasir-ud-din Chiraagh Dehlawi rahmatullāhi alaihi ki maujoodgi me Aap ko khilaafat ata farmai. Aur farmaaya “Aye Shams-ud-deen! Main ALLĀH se dua karta hu ki tum se mera silsila qayaamat tak jaari rahega.”

19 Moharram 684 Hijri (March 1285 A.D.) ko Saabir piya ne aap ko 6 saal tak zameen ke andar rehkar Habse kabeer ka Mujaahida karne ke liye farmaaya.
Saabir piya ne apni ungli ke ek harkat se zameen me ek qabr tayyar ki aur Alimullāh Abdaal ko us me Hazrate Shams-ud-deen ke liye paani ka ek gilaas aur kuchh rotiya rakhne ke liye kaha.
6 saal baad jab Aap ko baahar nikaala gaya to aadha gilaas paani aur aadhi rotiya bachi thi.

**********************
Us ke baad Saabir piya ne Aap ko Chittor jaakar Sultaan Ala-ud-deen Khilji ko Amber ka Qila fateh karne me madad karne ke liye farmaaya aur farmaaya “Jis din tum apni pehli karaamat zaahir karoge usi din tumhare peer ka wisaal hoga.” Yeh sunkar aap ki aankho me aansoo aa gaye. Aur Phir Saabir piya ne apne janaa'iz ke baare me tamaam jaankaari di. Aur Aap ko Panipat ki Sardaari ata farmai.

Jab Amber ka Qila fateh nahi ho raha tha to Sultan Ala-ud-deen Khilji ne Aap ko dua karne ke liye arz ki. Aap ki dua se qila fateh hua.
Us ke baad aap Kaliyar waapas aaye. 13 Rabi- ul-awwal 690 Hijri ko Saabir piya ka wisaal ho chuka tha. Aap ne apne peer ki wasiyat ke mutaabiq janaaza ki tayyari ki. Jab janaaza tayyar karke rakh diya gaya to ek naqaab-posh ghood-sawaar shakhs ne aakar Saabir piya ki namaaz e janaaza padhai aur jab woh jaane lage to un se un ki pehchaan bataane ke liye kaha aur unho ne apna naqaab hataaya to pata chala ke woh khud Saabir piya hi the jo apne mureed ko Fana aur Baqa ka matlab bataane ke liye aaye the.

Yeh dekhkar Hazrate Shams-ud-deen be-hosh hokar gir gaye aur girne ke baad waha se gaa'ib ho gaye aur Turkistan ke Firkhaar shaher me pahunch gaye. Aap Firkhaar ke pahaad par ek saal tak mujaahida me mashgool rahe.

********************
Is ke baad Kashan, Tehran, Badakshan, Qandhar, Kabul aur Lahore ka safar karte hue aap 4 Zil Qa’ada 693 Hijri ko Panipat waapas aaye.
Aap ne Hazrat Bu Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi ko salaam aur doodh se bhara hua piyaala bheja. Bu Ali Shaah Qalandar ne muskurakar us piyaale me gulaab daalkar use waapas bheja.
Waha maujood logo ne is ke baare me puchha to aap ne bataya “Hazrat Bu Ali Shaah Qalandar ko doodh ka gilaas bhejkar maine yeh paighaam diya ke Saabir piya ne Panipat ki sardaari mujhe ata farmai hai. Aur unho ne doodh me gulaab daalkar bheja aur ise tasleem kiya hai.’

Phir Aap Panipat me ta’aleeme deen karte rahe.

***************
Jab aap ke khalifa Hazrat Shah Jalaal-ud-deen Mahmood Kabeer ul Auliya ne 6 mahine ka Habse kabeer ka Mujaahida mukammal kiya to 19 Sha’abaan 694 Hijri (July 1295 A.D.) ko aap ne mehfil-e-sama ka ehtamaam kiya. Aur mehfil me aap haalat e wajd me kho gaye.
Jab aap ko hosh aaya to logo ne aap ko bataaya ke ‘Ek naqaab-posh shakhs aaya tha aur aap ko salaam kaha hai aur kaha hai ke aap wajd me the is liye mulaaqaat nahi ho paai.’
Ye sunkar aap ghamzada ho gaye ke mere peer o murshid aaye the aur main is baat se bekhabar raha. Is ke baad aap ne mehfil-e-sama me jaana chhod diya. Aur logo se milna bhi band kar diya. Aap sirf Hazrat Shah Jalaal-ud-deen se milte the.

*************
Aap Hazrat Ala-ud-deen Saabir Paak rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap ke Khalifa Hazrat Shaah Jalaal-ud-deen Mahmood Kabeer- ul-Auliya rahmatullāhi alaihi hain.

*************
Aap ka wisaal 10  Jamaadi-uṡ-ṡaani 718 Hijri (August 1318 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Panipat (Haryana) me hai.

*************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Shams-ud-deen Turk Panipati rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments