Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Sayyed Muhammad Zafar-ud-deen Bihari rahmatullāhi alaihi

Hazrat Sayyed Muhammad Zafar-ud-deen Bihari rahmatullāhi alaihi :
________
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Malik-ul-Ulama (King of Scholars).

************
Aap ki wilaadat 10 Moharram 1303 Hijri (19 October 1885 A.D.) ko Subah saadiq ke waqt Moza Rasoolpur, Zila Naalanda (Bihar) me hui.

Aap ke waalid ka naam Sayyed Abdur Razzaaq Ashrafi hai.

Aap Hasani saadaat hain.

Aap Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Sayyed Shaikh Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

Aap ke pardaada Sayyed Ibrāheem bin Sayyed Abu Bakr Ghaznawi Sultaan Firoz Shaah Tughlaq ke zamaane me Hind me tashreef laaye the aur 13 Zil hijja 753 Hijri (1352 A.D.) me Junge Qila e Rohtas (Shahabad ) me shaheed hue the.

***************
4 saal 4 mahine 4 din ki umr me Aap ke waalid ne apne Murshide Giraami Hazrat Shaah Chaand Bithwi rahmatullāhi alaihi ke Daste mubarak se Aap ki Bismillāh khwaani karwai.

Aap ne apne waalid Sayyed Abdur Razzaaq Ashrafi se Arabi aur Faarsi ki ta’aleem haasil ki.
Phir Shaikh Haafiz Makhdoom Ashraf, Shaikh Kabeer-ud-deen aur Shaikh Abdul Lateef se Qur’an ki aur Arabi aur Faarsi kitaabo ki ta’aleem haasil ki.

1316 Hijri (1898 A.D.) me Aap Madrasa Ghauṡiya Hanafiya, Patna me daakhil hue aur Tafseer ul Jalalain ki aur Meer Zaahid ki kitaabo ki taaleem haasil ki aur 8 ulama se dusre uloom ki ta’aleem haasil ki.

25 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1320 Hijri (1902 A.D.) me Aap Madrasa Hanafiya, Patna me daakhil hue aur Shaikh Wasi Ahmad Muhaddeeṡ Surati se Musnad Imaam e Aazam, Mishkaat-ul-Masaabih aur Mulla Jalaal ki ta’aleem haasil ki.
2 saal baad Shaikh Wasi Ahmad Muhaddeeṡ Surati rahmatullāhi alaihi jaeefi ke sabab Patna se Pilibhit tashreef le gaye.
Is ke baad Aap ne Kanpur jaakar 3 madaaris me taaleem haasil ki. Daar-ul-Uloom me Shaikh Ahmad Hasan Kanpuri Mantiq ki aur Shaikh Ubaidullāh Punjabi se ‘Hidayah’ ki, Madrasa Imdaad-ul-Uloom me Shaikh Qaazi Abdur Razzaaq se aur Madrasa Ahsan-ul-Madaaris me ta’aleem haasil ki.

Phir Aap ne Pilibhit jaakr Hazrat Shaikh Wasi Ahmad Muhaddeeṡ Surati rahmatullāhi alaihi se uloom e baatini ki ta’aleem haasil ki.

1321 Hijri (1903 A.D.) me Aap Bareilly aaye to Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullahi alaihi ke mureed hue.

Aap ne Hazrat Maulana Hasan Raza Khan rahmatullāhi alaihi, Hujjat-ul-Islaam Maulana Haamid Raza Khan aur Sayyed Muhammad Ameerullāh Shaah ke saath koshish ki. Jis ke sabab 1322 Hijri (1904 A.D.) me Aa’la Hazrat ne Madrasa Manzar-ul-Islaam ki qaa'im farmaaya.
Sayyed Muhammad Zafar-ud-deen Bihari aur Sayyed Abdur Rasheed Azeemabadi Madrasa Manzar-ul-Islaam ke pehle talba the.

Aap ne Aa’la Hazrat ke paas Sahih Bukhari, Aqlidas ke 6 Maqaale, Tashrih-ul-Aflak, Sharh Chughmini, Risaalah Qushayriya aur Awaarif-ul-Ma’arif ki taaleem haasil ki.
Aap ne Aa’la Hazrat se Ilm e Hayaat, Ilm e Tauqeet, Ilm e Jafr, Ilm e Takseer aur Ilm al Riyaazi ki ta’aleem bhi haasil ki.
Madrasa Manzar-ul-Islaam me Aap ne Shaikh Sayyed Basheer Ahmad Aligarhi, Shaikh Sayyed Ameerullāh Shaah Bareilwi, Shaikh Hameed Hasan Rampuri aur Maulana Hasan Raza Khan Bareilwi se ta’aleem haasil ki.
1325 Hijri (1907 A.D.) me ulama ki bahot badi ta’adaad ki maujoodgi me Aap ko Shaikh Makhdoom Shaah Hayaat Ahmad Qaadri ke daste mubarak se Sanad aur Ijaazat ata ki gai.

***************
Aap ne Aa’la Hazrat se uloome baatini ki ta’aleem haasil ki.
1325 Hijri (1907 A.D.) me Aa’la Hazrat ne Aap ko Khilaafat aur Ijaazat ata farmai.

Aa’la Hazrat ne Aap ko 43 khat likhe the aur Shaikh Khalifa Taaj-ud-deen Lahori aur Shaikh Haaji Muhammad Layal Khan Qaadri Razwi ko likhe hue 2 khato me Malik-ul-Ulama ka zikr kiya tha.
Aa’la Hazrat ‘Habeebi wa Waladi wa Qurrat al Ayni (My Beloved Son and Coolness of my Eyes)’ aur kai baar ‘Waladi al A'az Haami us Sunan wa Maahi ul Fitan (My Son who Protects the Sunnah and Fights the Heresies)’ kehkar khitaab farmaate.

1337 Hijri (1919 A.D.) me Aa’la Hazrat ne Qasida ‘Zikr ul Ashaab wa Dua al Ahbaab’ Al ma’aroof  ‘Qasidatul Istimdaad’ me Aap ka zikr is tarah kiya hai :
‘Mere Zafar ko apni Zafar de
 Is se Shikasten Khaate ye hain!’

**************
1329 Hijri (1911 A.D.) tak Aap Madrasa Manzar-ul-Islaam, Bareily me Mudarris rahe. Phir 2 saal tak Madrasa Hanafiya, Arah, Allahabad me Mudarris rahe. Phir 1330 Hijri (1912 A.D.) se 1334 Hijri (1916 A.D.) tak Aap Madrasa Islaamiya Shams ul Huda, Patna me Shaikh al Fiq'h aur phir Shaikh-ul-Tafseer rahe.
Phir Shaikh Sayyed Shaah Malih-ud-deen ki guzaarish par Aap 1331 Hijri (1913 A.D.) se 1338 Hijri (1920 A.D.) tak Madrasa Khaanqaah al-Kabiriya, Sahsharam me Mudarris rahe.
Phir Madrasa Islaamiya Shams-ul-Huda, Patna me waapas aaye aur 1369 Hijri (1951 A.D.) se 1338 Hijri (1920 A.D.) tak Mudarris rahe.
1365 Hijri (1947 A.D.) me Aap Madrasa Islaamiya Shams-ul-Huda ke Shaikh-ul-Kulliya (Principal) bane. 

Phir Shaikh Sayyed Shaah Shaahid Husain ki guzaarish par 21 Shawwaal 1371 Hijri (1953 A.D.) ko Aap ne Kathyar, Bihar me Jamiah Lateefiya Bahr-ul-Uloom ki shuruat ki aur 1378 Hijri (1960 A.D.) tak Sadr-ul-Mudarriseen (Chief patron) rahe.

**************
Aap ke mash'hoor shaagird :
Shaikh Khwaja Muzaffar Husain Razawi Purnawi , Shaikh Abdur Raoof Qaadri Balyawi, Shams-ul-Ulama Sayyed Shams-ud-deen Ja’afari Qaadri Razawi Jaunpuri, Shaikh Muhammad Zahoor Ahmad Naeemi Muradabadi, Shaikh Nizaam-ud-deen Balyawi Allahabadi, Shaikh Yahyā Balyawi aur Shaikh Dr. Sayyed Mukhtaar-ud-deen Ahmad Aarzu Qaadri.

***************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shahere Katihaar se zara Pachchhim me ek Basti me Aap ke Aqeedatmando ne Aap ko daawat ki. 
Jab daawat ka waqt hua to Mezbaan lene aaye. Hazrat  jab jaane lage to Ahbaab, Ulama aur Talba ki 40-50 aadmiyo ki ek Jama'at Aap ke saath ho gai. Itne saare logo ko dekhkar ghar waale kuchh pareshaan ho gaye.
Aap ne gharwalo ki is tashwish ko foran bhaanp liya aur farmaaya “Mujhe ma'aloom hai ke daawat 10 aadmiyo ki hai aur aane waale kai guna zyada hai. magar Aap log fikr na kare. Jo kuchh tayyaar hai haazir kiya jaaye, alag se kuchh karne ki katai zaroorat nahi. Dastarkhwaan bichha dijiye.”
Aap ke farmaan par dastarkhwan bichha diya gaya. Aap der tak zere lab kuchh padhte rahe aur phir dastarkhwaan par jo kuchh maujood tha us par dam kar diya. Phir farmaaya “Haan! Ab khaana khaaiye.”
Raawi farmaate hain ke “Aap ki dua se Mehmaan aur Mezbaan, sab ke khaana khaa lene ke bawajood khaana bach gaya.”

**************
Aap Aa’la Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Mohaddeeṡ e Aazam e Hind Sayyed Shaah Muhammad Ashrafi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko ‘Chishti Ashrafi’ silsila ki Khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khalifa (aap ke saahbzaade) Hazrat Allama Dr. Sayyed Mukhtaar-ud-deen ‘Aarzu’ Qaadri rahmatullahi alaihi hain.

*********
Ek din ek shakhs Aap ke paas aaya. Aane waala un ka shanaasa tha. Us ne kaha ke “Maine Aap ke paas ek Istefa'a kiya tha lekin Aap ne us ka jo jawaab diya hai, Khaanqaahe Mujeebiya Phoolwari shareef ke Sajjaada nasheen ne us ke Bar aks Fatawa diya hai. Jab maine un se Aap ke Fatawe ka zikr kiya to unho ne farmaaya ke : Unhe yaha bula laao. Hum log aapas me Tabaadala e khayaal kar ke ya to hum hi apne faisle se ruju'a kar lenge ya phir unhi ko mashwara denge ke apne faisle par nazre ṡaani kare. Is liye Aap Phoolwari chaliye.”
Aap ne farmaaya “Jis ko zaroorat hogi woh khud mere paas aayega. Maine jo Fatawa diya he woh theek hi diya hai.” Is par woh saahab bole ke “Khaanqaah ke Sajjaada nasheen Aap ke paas is liye nahi aa sakte ke Sajjaada nasheen ke liye waha yeh qaid hai ke woh apni Khaanqaah ke halke se baahar nahi jaa sakta aur Aap ke saath to aisi koi qaid nahi hai, Aap to aate jaate rehte hain. Is liye Aap ko hi chalna chaahiye.”
Aap ne barham ho kar farmaaya ke “Ek martaba keh diya nahi jaaunga phir baar baar israar kyun karte ho?” Us Shakhs ne kaha “Jaayenge kyun nahi? Aise nahi jaayenge to main kandhe par utha kar le jaaunga.” Aap ek minute khaamosh rahe, Phir farmaaya ke “Jab kandhe par hi le jaana hai to jaao parso aana.” Woh Shakhs mutmaeen ho kar chala gaya. 
Teesre din jab woh Aap ko le jaane ke liye aaya to us ne bheed dekhi aur jaise hi woh darwaaze par pahuncha to us ko ma’aloom hua ke Hazrat ka wisaale paak ho chuka hai aur Aap ka Janaaza baahar laaya jaa raha hai.
Usne aage badh kar kandha diya aur Hazrat ki laash mubarak se mukhaatib ho kar kaha ke “Hazrat! Kandhe par le chalne ki baat maine is liye kahi thi ke main Aap ko Phoolwari Shareef le jaana chaahta tha. Aap kandhe par chal to rahe hain magar Aap ne raasta badal diya hai.”

*********
Aap ka wisaal 19 Jamaadi-uṡ-ṡaani 1382 Hijri (18 November 1962 A.D.) ko Aap ke makaan ‘Zafar Manzil’, Patna me hua.

Wisaal ke waqt Aap ‘Allāh-Allāh’ ka Zikr e Zaahiri kar rahe the.
Aap ki namaaze janaaza Hazrat Allama Shaah Ayyoob Abdaali Shaahidi Rashidi Islampuri ne padhai.

Aap ka mazaar Patna (Bihar) me hai.

************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Malik-ul-Ulama Sayyed Muhammad Zafar-ud-deen Bihari rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments