Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Khat,E-mail or internet ya mobile ke zariye mureed hona kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Khat,E-mail or internet ya mobile ke zariye mureed hona kaisa ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Khat or internet ke zariye mureed hona jaiz he.

Mureed hone ke liye zaroori nahi ki hath me hath leke hi bay'at kare.
Baaz aqabirin aesa karte he ki chadar pakadwate he or chadar pakad kar mureed bay'at hote he.
Ye dono tarike bhi durust he.
Lekin khud hamare nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam se sabit he saiyyeda aayisha siddiqa radiallahu anha farmati he ki sarkar sallallahu alaihi w sallam ne kabhi aurto ka hath hath me lekar bay'at nahi farmaya balki parde me rakh kar unko bay'at farmaya karte the. Is se wazeh ho gaya ki aurte parde me he or sarkar sallallahu alaihi w sallam is taraf bay'at karva rahe he or darmiyan me na chadar pakdwai he.
NA hath me hath liya or na chadar pakdwai or bay'at ho gai..
Isi tarah nabi e kareem sallallahu alaihi w sallam ne khutut rawana farmaye he islam ki tablig ke liye or jiske paas ye khutut pahuchte the vo padhte the or bahut sare log islam qubool bhi karte the. To goya ki khat ke zariye bhi bay'at ho sakti he. Maloom hota he ki peer sahab ka samne hona bhi zaroori nahi he. Agar hazaro mil door he or aap khat ke zariye bay'at hona chahe tab bhi ho sakte he baaz aqabir ka ye hota he ki aap apna naam or apni walida ka naam likh ke de dijiye vo aap ko bay'at kar lege.

*_Or ek hadish shareef me he_*

Tirmizi shareef me hazrat anas radiallahu anhu se riwayat he vah farmate he ki jab Rasoolallah sallallahu alaihi w sallam ne maqame hudaibya me bay'ate rizwan ka hukm farmaya us waqt hazrate usmane gani radiallahu anhu huzur sallallahu alaihi w sallam ke qasid ki hesiyat se makka mu'azzam gaye hue the, logo ne huzur ke hath par bay'at ki, jab sab log bay'at ho gaye fir Rasoolallah sallallahu alaihi w sallam ne apna ek hath dusre hath par rakha or hazrat usmane gani ko bay'at ki..(hazrat usmane gani waha maujud nahi the)
*_📚TIRMIZI SHAREEF_*
*_📚MUSLIM SHAREEF_*
*_📚AL-MUSTADARAK_*
*_📚KHUTBATE MUHARRAM ,S-182_*

Is hadish se maloom huaa ki bay'at hote waqt peer ka samne hona zaroori nahi he...

Mobile Phone, call ya sms ke zariye bhi mureed hona ya karna chahe to kar sakte he ki bay'at naam he ijabo qubool ka. Ek taraf se ijab huva or dusri taraf se qubool khwañ call ki soorat me ho ya sms ki soorat me bayat ho jaegi. Logo me mashHoor he ki bay'at hath daal kar hi hoti he. ya dar he aysa kuchh nahi zaroori nahi ke RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne kai ek aysi bay'ate ki ke hath me hath na dala. Is ki ek misal vo ki jab wafadsukaif hazire bargahe aqdas hue or daste anwar par bay'ate ki un me ek sahab ko juzam ka aarza tha. Huzure aqdas Sallallahu alaihi w sallam ne unko paigam bheja. Tarjama:- wapas jaao Tumhari Bay'at ho gai.
*📚SUNAN IBNE MAJA, KITABUL TIBB, BABUL JUZAM, JILD-2, SAFA-1172, DARUL AHYA KUTUBUL ARBIYA)*

Saiyedi imam Ahemad Raza Is hadish ko naql karne ke baad likhte he  "Yaani Zaban Kaafi he, Musafah Na Hona Mane'a Bay'at nahi".
*📚(FATAWA RAZVIYA, JILD-24, SAFA-218,219,)*

Lihaza khat, Phone, Loudspeaker par ek taraf se ijab or dusri taraf se qubool honto bay'at ho jaegi.

_Imame Ahele sunnat mujaddide dino millat Huzur saiyedi Aala Hazrat Alaihir Rahma farmate he._
" Bay'at bazariya khat w kitabat bhi mumkin he. Ye darkhwast likhe vo qabool kare or apne qubool ki us darkhwast dahinda ko itla'a de or uske naam ka shajra bhi bhej de, mureed ho gaya ki asl iradat fe'ale qubool he. Qalam Do zabano me se ek zaban he."
*📚(FATAWA RAZVIYA, JILD-26, SAFA-568)*

_hasile kalam yahi he ki Beshak mobile phone, email , khat massages wagairah ke zariye mureed kiya ja sakta he or ye jaiz he..._
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Post a Comment

0 Comments