*🌹SAWAL:-🌹*
mera suwal h ke piyas bahut shiddat ki lagi ho aur sirf Mandir k ilawa aur koi jaga nhi to kya Mandir ka pani ya khana kha sakte h
Gulam Musatafa
*🌹JAWAB:-🌹*
Aap ne jo soorat zikr ki hai voh bahut naadir hai bahut kam hi aisa hota hai...phir bhi الحمد للہ mazhab e Islam kisi shobe ke masail ke hal se khali nahi sabhi pareshaniyo ka hal hai.. To agar aisi koi soorat e hal pesh aaye to aap hatt-al-imkan koshish kare k mandir ke Andar na jakar sirf bahar rehkar apni hajat puri kare. Ye Hukm Halate Majboori Ka he,Kyu ki mandir jaha gair e khuda ki parastish hoti hai vaha allah tala ki laanat utarti hai...is liye us ki khas jagah se bach kar apni payas bujhaye aur khana agar parshad aur chadhava ho to na khaye k najaiz va mana hai ...
واللہ تعالی اعلم بالصواب
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments