بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 13«⚘ Mukhtasar Seerat E Mustafa ﷺ•───────────────•⚘ ⌬ ➤ 3 Hijri ke Khaas waqi’yaatHijrat ke Teesre Saal Jang-e-uhad Hoyi Aur Esi Jang Me Aap sallallaho alaihe wasallam ke Chacha Hazrat-e-Hamzah Shaheed Hoye Isi saal 15 Ramzan Ko Hazrat-e-Imam Hasan Paida Huye Huzur sallallaho alaihe wasallam ne Apni Beti Hazrat-e-Umme kulsum radhi allaho anha ka Nikah Hazrat Usman radhi allaho anho se Farmaya, Aur Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Hazrat-e-Umar Farooque radhi allaho anho ki Beti Hazrat-e-Hafsa Aur Hazrat-e-Zainab bint-e-Khuzima De Nikah Farmaaya Ab Tak Musalmano Ka Mushrika aurton ke Saath Nikah karna ja’iz Tha Esi Saal isko Haraam Kar Diya Gaya. ⚘ ⌬ ➤ 4 Hijri ke Khaas Waqi’yaat Es Saal Shabaan ke Mahine Main Hazrat-e-imam Hussain radhi allaho anho Paidha Huye The, Aur Aap sallallaho alaihe wasallam ki Biwi Hazrat-e-Zainab Bint-e-Khuzaima radhi allaho anha ka Wisaal Huwa Tha Esi Saal Huzoor sallallaho alaihe wasallam Ne Shawwal ke Mahine Me Hazrat-e-Umme Salma radhi allaho anha Se Nikah Farmaya Isi Saal Shadi Shuda admi ko Zina Karne Par Sang-Saar(Stoned to death) Karne Aur Chor ka Hath Kaatne Ka Hukm Nazil Huwa, Aur Sharab Bhi Haraam Qarar Diya Gaya.. |
Share on |
0 Comments