Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ » Pᴏꜱᴛ Nᴏ 19 «⚘ Mukhtasar Seerat E Mustafa ﷺ •───────────────• ⚘ ⌬ ➤ Kafan Mubarak Aapﷺ Ko 3 Safed Kapdon Mein Kafan Diya Gaya Yeh Teeno Kapde Yaman Ki Ek Jagah “Sahool” Ke Bane hue The Esi wajah Se Unhe “Sahooliya” Kaha Jata Hai.
⚘ ⌬ ➤ Namaz-E-Janaza Es Baare Mein Ekhtilaf hai ki Aapﷺ Ki Namaz-e-Janazah Kaise Padhi Gayi Magar Zyada Rajeh (Preference) Baat Yeh Hai Ki Jab Janaza Tayyar Hogaya toh Pehle Mardon Ne Phir Auraton Ne Phir Bacchon ne Namaz e Janaza Padh Janaza Kamre ke Andar hi Tha Baari Baari Thode Thode Log Andar Jaate Aur Namaz Padh kar Chale Aate Lekin Koi imam Na Tha Aur us Janaze Mein Jaise Aam Taur Se Maiyyat Ke liye Maghfirat Ki Dua ki Jaati Hai Woh dua Bhi Na Padhi Gayi Aur Uski Jagah Darood Sharif Padha Gaya
⚘ ⌬ ➤ Qabr-E-Mubarak Aap ﷺ Ka wisaal hazrat- e-Ayesha radhi allaho anha Ke Kamre Mein Huwa Aur Osi Kamre Mein Aapﷺ ki Qabr-e-Mubarak Bnaya Gaya Aapﷺ ki Qabr-e-Mubarak Hazrat e Abu Talha radhi allaho anho Ne Khoda
⚘ ⌬ ➤ Mukammal Umr Sharif Aap ﷺ Ki Mukammal Umr Sharif 63 Saal Ki Huyi.. 📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments