Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Seerat E Mustafaﷺ Post:-23

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ

Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ

» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 23 «

⚘ Aapﷺ Ke Roze
•────────────•

⚘Ramzan Ke Roze
⌬ ➤Hazrat-e-Abu Hurairah radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki Aapﷺ Ne Farmaya Ki Jis Ne Ramzaan Ke Mahine Ka Roza,Imaan ke Saath Sawab Ki Niyat Se Rakha To Os Ke Pichhle Tamaam Gunah Maaf Kar Diye Jaate Hain.
📬 Sahi Muslim,Hadees No.760 📒

⚘ ⌬ ➤ Es Ke Elawah Aapﷺ Ne Ramzan Ke Roze Ki Bahut Saari Fazilat Bayan Farmaya Aur Aapﷺ ne Khud Hamesha is Mahine Ka Roza Rakha Aur Apni Ummat Ko Bhi is Ki Taakid Farmaya Haan Safar aur Bimaari Wagairah Ki Surat Me Us Waqt Nahi Rakhne Aur Baad Me Use Pura Kar lene ki ijaazat Ata Farmaya Aur Khud Bhi Dono Par Amal Farmaya Jaisa ki Hazrate Ibne Abbas radhi allaho anho Bayan Karte Hain ki Huzurﷺ Ne Safar Me Roze Rakhe Bhi Aur Chhode Bhi To Jo Chaahe Rakhe Aur Jo Chaahe Chhod De.
📬 Sahi Muslim,Hadees No.1113 📕

⚘ ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu Darda radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki Ham log Sakht Garmi Ke Zamaane Me Huzurﷺ Ke Saath Ek Safar Par Gaye Garmi itni Sakht Thi Ki Kuchh Log Apne Sar Par Haath Rakh Lete The Us Waqt Huzurﷺ Aur Rawaha bin Abdullah ke Elawah Ham Me Se Koi Bhi Shakhs Roze Se Nahi Tha..
📬 Sahi Muslim,Hadees No.1062 📚

📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ
Share on
|

Post a Comment

0 Comments