Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 26 «⚘ Aapﷺ Ke Roze •────────────• ⚘Wisaal Ke Roze ⌬ ➤Begair iftaar Kiye Huye Lagataar Kayi Din Roza Rakhne Ko Wisaal Ka Roza Kaha Jaata Hai.Aapﷺ Ramazanul Mubarak Me Begair iftaar Kiye Huye Lagataar Kayi Kayi Din Roze Rakha Karte The. Magar Huzurﷺ Sahaba Ko is Tarah Se Roza Rakhne Ko mana Farmaya To Sahaba Ne Kaha Ki Ya Rasoolallahﷺ Aap to is Tarah Se Roze Rakhte Hain To Aapﷺ Ne Farmaya ki Beshak Main Tumhari Tarah Nahi Hun Mujhe To Mera Rab Khila Aur Pila Deta Hai 📬 Sahi Bukhari,Hadees No.7241.Sahi Muslim,Hadees No.1102-1104 Tirmizi,Hadees No.778 📒
⚘ ⌬ ➤ in Rozo Ke Elawah Aapﷺ Aur Bhi Roze Rakha Karte The Jaisa ki Hazrat-e-Aaisha radhi allaho anha Bayan Karti Hain Ki Huzurﷺ Jab Roza Rakhna Shuru Karte The To Rakhte Chale Jaate The Yahan Tak Ki Ham log Sochte Ki Ab Huzurﷺ iftaar Nahi Karenge Yani Roza Rakhna Nahi Chhodenge Aur iftaar karte The Yani Roza Chhodte The Yahan Tak Ki Ham Log Sochte The ki Ab Huzurﷺ Roza Nahi Rakhenge Hazrat-e-Aaisha Hi Bayan Karti Hain Ki Main Ne Huzurﷺ ko Ramazanul Mubarak Ke Elawah Kisi Mahine Me Mukammal Pure Mahine Roze Rakhte Huye Nahi Dekha Aur Shaaban Se Ziyadah Kisi Aur Mahine Me Roza Rakhte Huye Nahi Dekha (Yani Mukammal Mahina Sirf Ramazaan Me Raha karte The aur Ramazan ke Elawah Sab Se Ziyadah Shaaban Me Roza Rakha Karte The.).. 📬 Abu Dawood,Hadees No.2434 📚 📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments