Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Seerat E Mustafaﷺ Post:-27

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ

Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ   

» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 27 «

⚘Aapﷺ ke Hajj Aur Umrah
•───────────────•

⚘⌬ ➤ Nabuwat Ke Elaan Ke Baad Makka Sharif Main Rehte Huye Aapﷺ Ne Do(2) ya Teen(3) Hajj Kiye Aur Hijrat Ke Baad Sirf Ek Hajj 10 Hijri Main Ada Farmaya Jo Hajj “Hajjatul Wida” Ke Naam Se Mash’hoor Hai.
📬 Tirmizi, Hadees No.815 📒

⚘⌬ ➤ Hajj Ke Elawah Hijrat Ke Baad Aapﷺ Ne 4 Umre Bhi Ada Farmaya. Jaisa ki Hazrat-e-Anas radhi allaho anho Bayan Karte Hain Ki Aapﷺ Ne Ek Hajj Aur 4 Umre Kiya Ek Umra Zil-Qaada mein Dusra Umratul Hudaibiya Tisra woh umra Jo Aapﷺ Ne Apne Hajj Ke Saath Kiya Aur Chautha Umratul Ja’ranah
📬 Sahi Bukhari hadees No.815.Sahi Muslim, Hadees No 1253.Tirmizi, Hadees No.815 📗

⚘⌬ ➤ Hajj 3 Tarah Ka Hota Hai•°•★
(1)Hajj-e-Ifraad.
(2)Hajj-e-Tamattu.
(3) Hajj-e-Qiran.


Hajj-e-Ifraad Ka Matlab Sirf Hajj Karna Hota hai Aur Hajj-e-Tamattu Ka Matlab Ye Hota Hai Ki Admi Pehle Umre Ka Ehraam Baandhe Phir Umrah Ada Karne Ke Baad Woh Ehraam Khol De Aur Phir Hajj Ka Ehraam Band Kar Hajj Ada Kare.Aur hajj-e-Qiran ka Matlab Ye Hota Hai Ki Hajj Aur Umrah Dono Ki Niyat Se Ehraam Baandhe Aur Umra Ada Karne Ke Baad Woh Ehraam Hi Main Rahe Aur Hajj Ke Baad Us Ehraam Se Bsahar Ho.

⚘⌬ ➤ Ab is baat Main Ekhtilaaf Hai Ki Huzurﷺ Ne Kaunsa Hajj Kiya Tha Ifraad ya Tamattu ya Qiraan? To is Baare Main Imaam Azam Abu Hanifa aur Imam Ahmad bin Hambal rahemahumallah ki Tahqiq Ye Hai Ki Aapﷺ Ne Hajj-e-Qiran kiya Tha Aur Imaam Shafaee Aur Imam Malik ki Tahqiq Ye Hai ki Aapﷺ ne Hajj-e-Ifraad kiya tha In ke Elawah Kuchh Dusre ulma ki Tahqiq ye Hai ki Aapﷺ ne Hajj-e-Tamattu kiya Tha Har Ek ki Dalil Hadees Sharif ki Kitaabo Main Milti Hai Lekin Aap ﷺ ke Hajj-e-Qiran Karne ki Dalil Sab Se Ziyadah Mazboot Dikhaai Deti hai Kyunki is ke Baare Main 20 se Ziyadah Saaf Saaf Hadeesen Maujood Hain Yahan Par un Hadeeso Main Se Kuchh Pesh Kiya Jaata Hai Baaqi Allah Aur Us ke Rasool Khoob Jaan Ne Wale Hain..

📝in Sha Allah Agli Post Jari Hai..
Share on
|

Post a Comment

0 Comments