بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
•──────────────────• ⚘ ⌬ ➤ Aapﷺ Ne Jis Tarah Apna Maal Allah Ta’ala ke Raaste Me lutaaya Aur Sadqa Khairaat Kiya usi Tarah Apni Ummat ko Bhi is Par Ubhaara Aur is ko Nijaat Paane ka Zariya Bataya.Is Baare Me Aapﷺ ki Kuchh Hadeesen Pesh Hain. ⚘Hadees No.1 ⌬ ➤ Hazrat-e-Adi bin Haatim radhi allaho anho Bayan Karte Hain ki Nabi kareemﷺ Ne irshad Farmaya ki Tum Me Se Har Shakhs Se Qayamat ke Din us Ka Rab Khud Baat karega Aur us ke Aur bande ke Beech koi Bhi Tisra Nahi Hoga To Banda Daaheni Taraf Dekhega To Use Kuchh nahi Dekhaai Dega,Phir Woh Baa’een Taraf Dekhega To Use Kuchh Nahi Dekhaai Dega Phir Woh Apne Chehre ke Saamne Dekhega To use Jahannam Dekhaai Dega Phir Huzurﷺ Ne Farmaya ki Jo is Baat Ki Taaqat Rakhta Ho ki Apne Chehre Ko Jahannam ki Aag Se Bachaa’e Agarche Khajur Ka Ek Tukda Hi Sadqa Kar Ke Kyun Na ho To Woh Zaroor Sadqa Kare 📬 Tirmizi,Hadees No.2415 📒 ⚘ ⌬ ➤ Aur Dusri Riwayat Main Hai ki Nabi kareemﷺ Ne irshad Farmaya Agar Kisi Ke Paas Khajur ka Tukda Bhi Nahi Ho To Achchhi Baat Hi Kahe (Kyunki Ye Bhi Sadqa Hai).. 📬 Sahi Bukhari,Hadees No.6023 📚 |
Share on |
0 Comments