Hazrat Ameer Muawiya RadiyALLAHu Anhu
Mash'hoor Sahabi Aur Musalmano Ki Maa
Hazrat Umm e Habibah
RadiyALLAH Anhaa
Ke Bhai Aur
Kaatib e Wahee Hen.
7 Hijri Me Islaam Qubool Kya
Magar Waldain Ke Khouff Sey Izhaar Na Kya.
8 Hijri
Fatah e Makkah
Ke Baad
Jab Aapke Waldain
Islaam Le Aaye
To Aapne Islaam Ka Izhaar Kya.
Aapse 163 Ahadees Riwayat Ki Gayi Hen
Aur
IMAM Bukhari o Muslim Ne Apni Kitabo
(Bukhari o Muslim) Me Aapse Ahadees Li Hen.
Aapka Naam;
Muawiya
Waalid Ka Naam;
Hazrat Abu Sufyaan
Walida Ka Naam;
Hazrat Hinda
Aapka Khitaab;
Ameen - Qawi
Aapka Ta'alluq
Quraish Ke Qabiley
Banu Umayyah Se Hey
Aapka Silsila e Nasab
5th Pusht Me
Nabi Karim
Alaihissalatu Wattasleem
Se Milta Hey
(Ridwanullahi Alaihim Ajamain)
Hazrat Ameer Muawiya
Daraaz Qadd
Aur Khoobsurat They,
Hazrat Umar Inhey Ärab Ka "Kisraa" Kehtey They
(Taarikhul Khulafa)
Nabi Paak Sallallahu Alaihi Wasallam Ne
Hazrat Ameer Muawiya Ke
Baarey Me Farmaya;
Aye ALLAH Inko Hidaayat Deney Wala Aur Hidaayat
Yaafta Bana
Aur Logon Ko Inke Zarye Hidaayat Ataa Farma
(Tirmizi)
(An'Nihaaya P#32)
Imam Tirmizi Ne Is Hadees Ko Hasan Kaha Hey
Meri Ummat Ka Wo Pehla Giroh Jo Samandari Jihad Krega
Uske Lye Jannat Wajib
(Bukhari H#2924)
Us Jihad Me Ameer Muawiya They
(Umdatul Qaari)
Sarkar Ne Dua Ki;
"Aye ALLAH Isey (Muawiya Ko) Hisab Kitab Ka ILM Ata Kar,
Azaab Se Iski Hifazat Farma
(Masnad Ahmed)
(Tarikhul Khulafa)
Hazrat Ali Farmatey Hen;
"Muawiya Ko Bura Na Kaho, Jab Ye Tumhare Andar Se Uth Jayenge To Dekho Ge Ke Buhat Se Sar Tann Se Juda Kye Jayenge"
#Wasiyyat e Ameer Muawiya#
Mere Marne Ke Baad
Huzoor Ke Baal Aur Naakhun
Mubarak Meri Aankhon
Aur Muhn Par Rakhey Jayen
(Tarikhul Khulafa)
Hazrat Ameer Muawiya
RadiyALLAHu Anhu
Ki Shaan Me Ahadees To Bohut Hen Magar Hum Aapko Mukhtasaran
Ulama e Ummat Ke Aqwaal Ka Khulaasa Batatey Hen,
Allama Yousuf Nibhani;
Aap Tamaam Musalmano Sey Sahabi Honey Ki Waja Sey Afzal Hen Aur Qatayi Jannati Hen
(Shawahid ul Haq P#826-827)
Kayi Ulama Ne Aapke
Fazaail o Manaqib Me Kitaaben Likhin..
Imam e Ahl e Sunnat
Shah AHMED RAZA Khan Farmatey Hen;
"Jo Shakhs
Hazrat Ameer Muawiya Par La'an Ta'an Karta Hey
Wo Jahannum Ke Kutto Me Sey Ek Kutta Hey
(Ahkaam e Shariyat P#90)
Kuch Bad Aqida Bad Logg
Apne Dil Me
Hazrat Ameer Muawiya
RadiyALLAHu Anho Ke Lye
Bughz Rakhtey Hen
Hazrat Muawiya Ko Hum
Apna Imam Tasleem Karen
Aur Esaal e Sawab Karen
To Unke Pait Me Dard Hota Hey
Isi Tarah Ek Aur Bad Aqida Giroh Yazeed Ko Naik Aur Seleh Imam Manwane Par Tula Hey,
Jis Ki Gumrahiyat Hamare Imam Azam Ne Saabit Farmayi.
Yaad Rahey!
Bete Ki Gumrahiyat Se Baap Ke Maqam Me Kuch Kami Na Hogi
Bus Hamara Amal Is Par Hey Ke;
Imam Hasan Ne Jis Imam Muawiya Se Sulah Ki,
Hum Us Se Jang Nahi Kar Saktey
Aur
Imam Hussain Ne Jis Yazeed Se Jang Ki,
Hum Us Se Sulah Nahi Kar Saktey
🌴 Aap رضی اللہ تعالی عنہ Ki Wafat Baroz Jumerat Mahe Rajab Ki 22 Tarik Ko 60 Hijri Me Mulke Sham Ke Mashoor Saher "Damishk" Me Hui Apki Umar 78 Saal Thi
📚 (Faizane Ameere Maviya Page No 246)
0 Comments