Hazrat Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaheed-e-Aazam, Imaam-e-Aali maqaam, Sayyed-ush-Shabaabi Ahlil Jannah, Raihaan-e-Mustafa, Sibt-al-asghar, Sayyed-ul-Mazloomeen, Imaam-ush-Shohada, Shaah e Karbala.
*************
Aap ki wilaadat 5 Sha’aban 4 Hijri me Madeena munawwara me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrate Ali Murtaza ibne Abu Taalib radiy-Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Hazrate Sayyeda Faatima Zahra binte Muhammad Mustafa (sallallāhu alaihi wa sallam) radiy-Allāhu ta’ala anha hain.
Aap Quraish ke Banu Haashim khaandaan se hain.
*************
Aap Ahle bait me se hain aur panjatan me shaamil hain.
Aap ke baare me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai :
(1) Hasan aur Husain jannati jawaano ke Sardaar hai.
(2) Husain mujh se hai aur Main Husain se.
(3) Jis ne Husain se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki.
Aye ALLĀH! Tu us se mohabbat kar jo Husain se mohabbat kare.
****************
Ek martaba dauraane safar Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Hasan aur Hazrat Husain radiy-Allāhu ta’ala anhuma ke rone ki aawaaz suni to Aap ne Hazrat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha se pucha “Bachche kyun ro rahe hain?” Sayyeda ne arz kiya “Pyaas ki wajah se.”
Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne tamam saathiyo se paani ke baare me puchha magar paani na mila. Farmaaya “Dono ko mere paas laao.” Sayyeda chaadar ke andar lekar aai to Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne pehle Hasan ko uthaakar seene se lagaaya aur apni zabaan mubarak unke munh me daali aur Hazrat Hasan ne Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ki zabaan chusna shuru kiya aur unki pyaas door hui aur chup ho gaye. Phir Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne Hazrat Husain ko uthaakar seene se lagaaya aur unke munh me bhi zabaan mubarak daali aur woh bhi zabaan mubarak chuskar chup ho gaye.
************
Ek martaba jab Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam haalate namaaz me the aur Aap khelte khelte naana jaan ki pusht mubarak par sawaar ho gaye to pyare Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ne Husain gir na jaaye is wajah se apne sajde ko taweel kar diya.
*************** *****
Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam Hazrate Husain ke sar ko sungha karte the.
Ashaaba ne puchha ki “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam chumne ki baat to samajh me aati hai, yeh sunghne ki kya wajah hai?” tab Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya “Mujhe Husain se jannat ki khushboo aati hai.”
**************
Ek roz Hazrat Jibr'eel alaihis salaam Hazrat Dihyah al-Kalbi radiy-Allāhu ta’ala anhu ki shakl me Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ki baargaah me haaazir the. Hazrate Husain waha aaye to Dihyah al-Kalbi samajh kar Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ki god me baith gaye aur aadat ke mutaabiq khelne lage, kabhi girebaan me haath daalte, kabhi aaastin me haath daalte. Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne shafaqat ke saath shehzaade Husain ko rokna chaaha to Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ne arz kiya “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Inhe roke nahi. Yeh mujhe bahot mehboob hain, Inhe khelne den.’”
Phir Hazrat Jibr'eel alaihis salaam ne kaha “Ya Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam! Akṡar awqaat jab Aap ki shehzaadi Faatima Zahra namaaze Tahajjud padhkar so jaati thi aur shehzaade Husain gehwaare me hote aur bedaar ho jaate to Rab ta’ala ke hukm se main shehzaade Husain ka gehwara (jhula) Jhulaata Take Faatima kuchh der aaraam se so le.”
**************
Jab Aap ki Umr 7 Saal Thi Tab Huzoore akram sallallāhu alaihi wa sallam ka aur phir Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anhu ka wisaal hua.
**************
Aap Nihaayat hi Haseen Wa Jameel The.
Aap ki Peshaani Aur Rookhsaar Se Noor (Roshni) Nikalkar Qarb wa Zawaar ko Munawwar karta Tha.
**************
Ek baar Hazrate Abdullāh ibne Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saath khelte hue bahes hui aur Hazrate Husain ne kaha ke “Tum aur tumhare waalid dono mere naana jaan ke ghulaam ho.”
Hazrate Umar radiy-Allāhu ta’ala anhu ke kehne par Aap ne ek kaagaz par likhkar diya ke “Hazrate Umar aur Ibne Umar mere naana jaan ke ghulaam hain.”
Ibne Umar wo kaagaz lekar Hazrat Umar Faarooq ke paas aaye to Hazrate Umar Farooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ne adab se saath us kaagaz ko liya aur kaha ke “Is kaagaz ko hifaazat se rakhna aur jab meri wafaat ho ise meri mayyat ke saath qabr me rakh dena. In shaa Allāh ye kaagaz Rabbul Aalameen ki Baargaah Me meri Maghfirat ka Zariya banega.”
**************
Aap ki Ibaadat, Husn e Akhlaaq, Shakhaawat, Sabr, Ilm, Aur Shuja’at Mash'hoor hai.
**************
Log Aap se Ahkaam e Shariat ke Masaa'il Jaanne ke liye Aate The.
**************
Aap ne 25 Martaba Paidal Hajj Ada kiye.
*************
Ek roz ek shakhs Imaam Husain ki khidmat me haazir hua aur arz kiya “Main kaṡrat e ayaal ki wajah se be-had tangi aur iflaas me hu, Yahan tak ki aaj raat khaane ke liye bhi kuchh nahi.”
Hazrat Aap ne use apne paas thehraaya. Itne me Hazrat Ameer Muawiya radiy-Allāhu ta’ala anhu ne 5 tode dinaaro ke Hazrat Imaam Husain ki khidmat me bheje. Aap ne wo sab tode Us shakhs ko inaayat farma diye aur farmaaya “Tujhe thoda intazaar karna pada us ke liye maafi chaahta hu.”
***************
Ek Martaba ek zaroorat-mand Dehaati Aap ke darwaaze par haazir hua aur ek parcha is tarah likhkar Aap ke paas bheja ‘Mere paas koi aisi cheez nahi hai jis se ek daana khareeda jaa sake. Meri haalat Aap par zaahir hai jise bayaan karne ki zaroorat nahi hai. Maine aabroo bacha rakhi thi use kisi ke haatho farokht karna pasand nahi karta tha. Magar ab khareed-daar mil gaya hai.”
Ittefaaq se jawaab aane me kuchh der lag gai to Dehaati ne phir se ek parcha is tarah likhkar bheja ‘Jab main lautunga to log mujh se puchenge ke Saahibe Fazal sakhi se tujhe kya mila hai to kya jawaab dunga agar kahunga ke nujhe diya hai to jhut hoga aur agar kahunga ke Sakhi ne apna maal rok liya hai (ya’ani nahi diya hai) to yeh baat maani na jaayegi.”
Hazrat Imaame Husain ne 10,000 deenaar ki thaili us dehaati saa'eel ke paas bheji aur saath me kuchh Ash'aar likhkar bheje jis ka mafhoom yeh tha :
“Tum ne jald-baazi ki. So tumhe yeh qaleel hissa mila. Agar tum jaldi na karte tumhe aur zyada milta. Abhi itna hi le lo. Yun samajhna ke sawaal kiya hi nahi aur hum yun samajhenge ke hum ne kuchh diya hi nahi.”
**************
Ek baar Aap raaste se guzar rahe the ke kuchh miskeeno ne Aap ko daawat di. Aap ne use qubool kiya. Un logo ne Aap ke saamne roti ke kuchh tukde pesh kiye jo un ko kahi se mile the. Aap ko khaane ki haajat nahi thi magar un logo ki khushi ke liye Aap ne chand luqme khaaye aur phir un sab ko apne ghar par le gaye aur unko achha khaana khilaaya aur kapde aur maal ata kiya.
**********
Hazrat Anas radiy-Allāhu ta’ala anhu bayaan farmaate hain ke
“Ek din main Hazrat Sayyedina Imaame Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ki khidmat me baitha tha. Aap ki ek Kaneez ne phoolo ka ek guldasta laakar Aap ko pesh kiya. Aap ne guldasta haath me lekar sungha aur Qaneez se irshaad farmaaya : Jaao tum ALLĀH ki raah me aazaad ho.
Maine arz kiya : Aye Shehzaade Rasool! Ek guldaste par itni qeemati kaneez ko aap ne aazad farmaaya? Aap ne farmaaya : Aye Hazrat Anas phoolo ke guldaste ke badle sab se achha tohfa yehi ho sakta tha ke use ALLĀH ke liye aazaad kar du.”
**********
Aap se kisi ne puchha “Islaam kya hai ?”
Imaam ne jawaab diya “Khaaliq ki ibaadat aur Insaaniyat ki khidmat.”
**********
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
(1) Jannat ke muntazir na raho.
Balke aise ban jaao ke Jannat tumhari muntazir rahe.
(2) Jo ALLĀH ki ibaadat ka pura haq ada karta hai, Khuda use us ki zaroorat aur talab se kahin ziyada ata farmaata hai.
(3) Insaan ko izzat aur martaba us ke Husn e akhlaaq aur nek amal se hi milta hai.
(4) Ilm baghair sach ke mukammal nahi ho sakta.
(5) Jo shakhs apne musalman bhaai ki bhalai chaahega,
Wo Qayaamat ke din us ka badla paayega.
(6) Zulm ke khilaaf jitni der se uthoge utni hi zyada Qurbaani deni padegi.
(7) Jo dunya waalo ko raazi karne ke liye ALLĀH ki nafarmaani karta hai ALLĀH ta’ala use dunya waalo ke hawaale kar dega.
(8) Agar tumhe yaqeen ho ke ALLĀH ta’ala tumhare saath hai to koi farq nahi padta ke tumhare khilaaf kaun hai.
(9) Kisi nek kaam ko dikhaawe ke liye mat anjaam do aur kisi neki ko sharmindagi ki bina par mat chhodo.
(10) Eimaan waala wohi hai jo aakhirat ke liye tosha jama kare,
Sacha Aabid wohi hai jo ALLĀH ta’ala ki taqseem par raazi rahe.
(11) Jab tum kisi shakhs ko us ki daulat ki wajah se izzat dene lago to samajh lena ke tum ne apna Eimaan kho diya hai.
(12) Jo tumhe aa'ine ki tarah tumhari khaamiya bataaye wo tumhara sacha dost hai aur jo sirf khushaamad karta hai aur tumhari khaamiya jaankar bhi bataata nahi wo tumhara dushman hai.
(13) Agar tumhe ek dusre ki niyyaton ka ilm hota to tum ek dusre ko dafn bhi na karte.
(14) Hathiyaro se jung to jeeti jaa sakti hai, magar dil nahi.
Kyun ki Dil sirf Kirdaar ke saath jeete jaate hain.
(15) Aala darje ka faiyaaz who hai jo aise logo se Husn e sulook kare jin se use koi ummeed na ho.
(16) Dosto ke khilaaf taaqat dikhaana aur Dushmano se bhaagna ye Buzdili hai.
(17) Maal ko kharch karne ka sab se achha tareeqa ye hai ke us se kisi ki izzat o aabroo mehfooz ho jaaye.
(18) Agar dunya me inqilaab laana chaahte ho to tehzeeb ka aaghaaz khud se karo dunya khud ba-khud badalne lagegi.
*************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 4 biwiya aur 3 saahabzaade aur 3 saahabzaadiya hain :
(1) Shahar banu binte Yazdegerd se
1 beta – Zain ul aabideen Ali al-awsat,
(2) Rubaab binte Imra al-Qays se
1 beta - Abdullāh Ali al-asghar,
1 beti – Faatima al-kubra urfe Sakeena.
(3) Layla binte Abi Murrah al- Ṡaqafi se
1 beta – Ali al-akbar,
2 betiya – Ruqayya urfe Sakeena al- sughra, Faatima al-sughra.
(4) Umme Is'hāq binte Talha bin Ubaidullāh al-Ta'imi se
1 beti – Faatima.
♦ Aap ki nasl Hazrat Imaam Zain ul aabideen Ali al-Awsat rahmatullāhi alaihi se jaari hai.
**************
Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap Jung e Tabaristan (30 Hijri) me shaamil hue.
35 Hijri me jab raafziyo ne Ameer ul mo’mineen Hazrate Uṡmaan Ghani radiy-Allahu ta’ala anhu ke makaan par ghera daala to tab Aap ne Hazrat Hasan ibn Ali, Hazrat Abdullāh ibn Zubair aur Marwaan ibn Hakam ke saath un ki hifaazat ke liye un ke ghar par pehra diya.
Hazrat Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Aap Jung e Jamaal (Jamaadi-ul-awwal 36 Hijri) aur Jung e Siffin (Safar 37 Hijri ) me shaamil hue.
**************
Aap Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke khalifa Hazrat Ali radiy-Allahu ta’ala anhu ke Silsila e tareeqat ke 4 khalifa me se hain.
Aap Aa'imma e Ahle bait ke teesre Imaam hain.
Aap Imaam Hasan al-Mujataba radiy-Allāhu ta’ala anhu ke wisaal ke baad Imaam bane.
**************
Aap 10 Moharram 61 Hijri (10 October 680 A.D.) ko Jum’aa ke roz shaheed hue.
Aap ka mazaar Karbala (Iraq) me hai.
*************
Shaheed e aazam Imaam e Aali maqaam ki karaamat shahaadat ke baad bhi jaari hai.
Shahaadat ke baad bhi aap ka sar mubarak Tilaawat e Qur’an kar raha tha.
Hazrate Zaid bin Arqaam radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ke
Jab yazeediyo ne Imaame aali maqam Sayyeduna Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke sare anwar ko naize par chadha kar Kufa ki galiyo me gasht kiya us waqt main apne makaan ke baalakhane par tha.
Jab sare mubarak mere samne se guzra to maine suna ke sare paak ne Qur’an majeed ki Surah al-Kahf ki Aayat -9 tilaawat farmai.
Tarjuma : “Kya tumhe ma'aloom hua ke pahaad ki khoh (gaar) aur jangal ke kinaare wale hamari ek ajeeb nishaani the.”
Ek buzurg se riwaayat hai ke Jab yazeediyo ne Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu ke sare mubarak ko naize se utarkar Ibne Ziyad ke mahel me daakhil kiya to aap ke muqaddas honth hil rahe the aur zabaane aqdas par Surah Ibrāheem ki aayat - 42 ki tilaawat jaari thi.
Tarjuma : “Aur hargiz ALLĀH ta’ala ko be-khabar na jaanna zaalimo ke kaam se.”
**************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Imaam Husain radiy-Allāhu ta’ala anhu aur Shohada e Karbala aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments