Hazrat Khwaja Sayyed Fakhr-ud-deen Gurdezi rahmatullāhi alaihi :
Aap ki wilaadat 544 Hijri (1149 A.D.) me Gurdez, Kabul (Afghanistan) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Khwaja Sayyed Ahmad bin Khwaja Sayyed Sadr-ud-deen rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap Hazrat Khwaja Uṡmaan Haarooni rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.
****************
Khwaja Uṡmaan Haarooni ne Aap ko Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi ke saath Hindustan jaane ki bashaarat farmai thi. Chunaanche Hindustan ke jaanib safar ke dauraan Khwaja Moeen-ud-deen Hasan Chishti rahmatullāhi alaihi Gurdez aaye to Aap Khwaja ke saath Ajmer aaye.
Aap Hazrat Khwaja Ghareeb Nawaaz ke khaas Khidmat-guzaar the. Aap ko langar khaana ki zimmedaari di gai thi. Khwaja Ghareeb Nawaaz ki ghair-maujoodgi me aur un ke wisaal ke baad aap tamaam zimmedaari ada karte rahe. Aur logo ko taalim e deen bhi karte rahe.
Aap zyada waqt Ibaadat, Zikr aur Muraaqaba me guzaarte.
****************
Aap ke 3 saahbzaade hain :
(1) Maulana Sayyed Mas'ood,
(2) Sayyed Mehboob Bhelol,
(3) Sayyed Ibrāheem.
****************
Aap ka wisaal 26 Rajab 637 Hijri (February 1240 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Ajmer (Rajasthan) me Khwaja Ghreeb Nawaaz ke mazaar ke qareeb hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Fakhr-ud-deen Gurdezi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments