Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Namaz Ka Bayaan 🄿🄾🅂🅃➫ 07

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
⚘Namaaz Ka Bayaan
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 07 «
⚘ Namaaz Ki Barkatein
•─────────────────•
✅ Aaqa O Moula ﷺ Ne Sahaba E Kiraam عليهم الرضوان Se Farmaya ''Agar kisi Ke Darwaze Per Ek Nahar Ho Jisme Woh Rozana 5 Martaba Ghusl Kare To Kiya iske Badan Per Mael Baki Rahega? Arz ki Bilkul Nahi, Irshaad Farmaya "Yehi Misal 5 Namazon ki Hai ke inki Barkat Se ALLAH Ta'ala Sab Gunah Mita deta hai." 
📗(Bukhari, Muslim)

Yahan Gunah Se Muraad Sagheera Gunah Hain. Kabeera Gunah Sachhi Tauba Se Aur Huqooq Ul Ibadaat Ada Karne Se Muaf Hote Hain.

✅ Mishkaat Shareef Mein Ek Riwayat Yeh Bhi Hai Sarkare Do Alam ﷺ Pathjhad Ke Mausam Main Ek Darakt Ke Paas Tashreef Laye Aur iski Shakhein Pakad Kar Hilayein Toh Patteh Girne Lage. Aapﷺ Ne Farmaya "Jab Musalman ALLAH Ta'ala Ki Raza ke liye Namaz Padhta Hai to iske Gunah Aise Hi Girjate Hain Jaise is Darakt ke Patteh Gire:.

✅ Nabi Kareem ﷺ Ka Farmaane Aalishaan hai: ''Jo Namaaz ki Pabandi karega is ke liye Qayamat ke Din Roshni Daleel Aur Zarye Nijaat Hojayegi Aur Jo iski Pabandi Na karega Toh is ke liye Na Roshni Hogi Na Daleel Na Nijaat Aur Woh Qayamat ke Din Kharoon, Firon, Hama'an Aur Abi Bin Khalaf Yani Bade Bade Kafiron Ke Saath Hoga''. 
📗(Mishka'at Shareef)

Namaaz Ki Ek Barkat Yeh Bhi hai Ke iske Zariye Har Mushkil Asan Hoti Hai Aur Namazi Ko Sukoon Milta Hai. Hazrat Huzaifa رضى الله عنه  ka Irsha'ad Hai Ke Aaqa O Moulaﷺ Ko Jab Koi Mushkil Ya Sakht Kam Pesh Aata Toh Aapﷺ Fouran Namaaz ki Taraf Mutawajje Hojate Thy.
📗(Abu Dawood Shareef).

📘Hawla:-Namaz ki Kitab

📝Musannif:-Khalifa E Huzoor Mufti e Azam e Hind Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma. 

📮in Sha Allah Agli Post
(Namaaz Ba Jama'at Ki Fazilat)...
Share on

|

Post a Comment

0 Comments