Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ » Pᴏꜱᴛ Nᴏ 33 «❢ ★ Aapﷺ Ki Taqrir ★ ❢ •──────────────────• ⚘⌬ ➤ Huzur ﷺ Ne Bahut Saare Mauqe Par Apne Sahaba Ke Saamne Taqrir Farmaya Jo Hadees Aur Tafseer Ki Kitabo Me Maujood Hain Yahan Par Aapﷺ Ki Sirf Ek Taqrir Ka Tarjama Pesh Kiya Jaa Raha Hai Jo Aapﷺ Ne Hijrat Ke Baad Madina Sharif Me Sab Se Pehle juma Me Kiya Tha Tamaam Taarifen Allah Ke liye Hain Main Uski Taarif Karta Hun Aur Usi Se Madad,Bakhshish Aur Rahnumaai Chaahta hun Mera imaan Usi Par Hai Main Uski Naafarmani Nahi Karta Hun Aur Naafarmani karne Walo Se Door Rahta hun Main Gawahi Deta Hun Ki Allah Ke Elawah Koi ibaadat Ke laaiq Nahi Hai Woh Ek Hai Us ka Koi Sharik Nahi Hai Muhammad Us Ke Bande Aur Rasool Hain Jin Ko Usne Hidayat,Noor Aur Nasihat De Kar Us Waqt Bheja Jab Ki Bahut Zamaane Se Nabiyo Ke Aane Ka Silsila Band Tha,ilm Ghat Gaya Tha Aur log Gumraah Ho Gae The.Bahut Zamaana Guzar Gaya Tha,Qayamat Qarib Thi Aur Maut Sar Par Mandla Rahi Thi To Jis Ne Allah Aur Us Ke Rasool Ki Farmabardari Kiya Woh Kaamyab Huwa Aur Jis Ne Un Dono Ki Naafarmani Kiya Woh Gumrah Huwa,Darje Se Gira Aur Door Ki Gumrahi Me Mubtala Huwa Main Tum Logo Ko Allah Se Darne Ki Taakid Karta Hun Aur Behtarin Taakid Woh Hai Jo Ek Musalman Dusre MUsalman Ko Aakhirat Ke Baare Me Kare Aur Use Aakhirat Ke liye Tayyar Karev Aur Allah Se Darne Ka Hukm De Aye Logo Allah Se Darte Raho Jaise Ki Khud Usne Tumhe Apni Zaat Se Darte Rehne Ki Hidayat Farmaya Hai Nahi is Se Badh Kar Koi Nasihat Hai Aur Nahi is Se Afzal Koi Zikr Hai.. 📝in Sha Allah Agli Post Jari Hai.. |
0 Comments