Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Seerat E Mustafaﷺ Post:-39

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ

Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ

» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 39 «

❢ ★ Aapﷺ Ki Aman Pasandi ★ ❢
•────────────────•

⚘⌬ ➤ Aap ﷺ Apni Puri Zindagi Aman Aur insaaniyat ka Mahaul Banane Ke liye Logo Ke Andar Se un Tamaam Buraiyon Ko Door Farmaya Jis Se Kisi Bhi Tarah Aman Aur insaaniyat ko Nuqsaan Pahunchta Hai Jaise Jhoot,Dhoka,Ghamand,Wada Khilaafi, Zulm,Ladaai jhagda Aur khoon Kharaba Wagairah Aur Har us Chiz Ko Apne Kirdaar Aur Baaton Se Badhawa Diya Jis Se Aman Aur insaaniyat Ka Parchaar Hota Hai Jaise Saare Logo Par Raham Karna Kisi Ke Liye Bura Nahi Sochna,Zaat Paat Aur Rang-o-Nasal ki Bunyad Par koi farq Nahi Karna, Sab Ke Saath Achchhe Akhlaaq Se Pesh Aana,Apni Zaat Se Dusron ko Faa’ida Pahunchana, Khaas Taur Se Kamzor Aur Garib Logo ki Madad Karna Aur un ki izzat ki Hifaazat Karna Wagairah Aur Aapﷺ Apni Baargah Me Unhi Logo ko Bada Rutba Dete The jo Logo ko Ziyadah Se Ziyadah Faaida pahunchane Me Aage Aage Rehte The Jaisa ki Hazrat Imam Hasan radhi allaHo anHo Bayan Karte Hain Ki ''Aapﷺ Ki Khidmat Me Haazir Hone Wale Log Makhlooq Ke Behtareen log Hote The Aur Aap ﷺ Ke Nazdeek Afzal Wahi Hota tha jiski khair-khwahi aam Ho Yani Jo Har Shaks ki Bhalaai Chahta Ho Aur Aap Ke Nazdeek Bade Rutbe Wala Wahi Shaks Hota tha jo Logon ki Madad Me Ziyadah Hissa leta Tha

 📬 Shamail-e-tirmizi :314

📚 ⚠NOTE :- Aaj Bhi Huzur ﷺ ki Nazar Me Afzal Aur Bade Rutbe Wala Wahi Shaks Hoga jo Har Shaks ki Bhalai Chahta Ho..

📝in Sha Allah Agli Post Jari Hai..
Share on

|

Post a Comment

0 Comments