Hazrat Peer Sayyed Abul Hassaab Jamaal-ud-deen Moosā Paak Shaheed Qaadri rahmatullāhi alaihi :
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Muhiy-ud-deen Ṡaani.
****************
Aap ki wilaadat 952 Hijri (1545 A.D.) me Uch me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Hamid Jahaan Bakhsh bin Sayyed Abdur Razzaaq Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Hasani saadaat hain.
Aap Hazrat Ghauṡ-ul-aazam Shaikh Sayyed Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
887 Hijri (1483 A.D.) me Aap ke pardaada Hazrat Shaikh Sayyed Muhammad Ghauṡ Bandagi Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi Uch tashreef laaye aur sukoonat pazeer hue aur Hindustan me Qaadri silsile ki ibtida ki.
****************
Aap ne apne waalid se ta’aleem wa tarbiyat haasil ki.
Aap Hadeeṡ, Fiq'h aur Tasawwuf ke maahir hue.
Aap ko kitaabo ka muttalla karne me aur tahreer karne me bahot dilchaspi thi.
***************
978 Hijri me apne waalid ke wisaal ke baad Aap Sajjaada nasheen bane.
***************
Aap aise muhaqqiq, mujaahid aur mubhalligh e islaam the jinho ne apni ta’aleemaat se musalmano ko galat aqeede se bachakar un ki hifazat ki.
988 Hijri (1581 A.D.) me Mughal baadshaah Akbar ne sab mazhab ko milaakar Deen-e-Ilāhi banaaya to Aap ne use maanne se inkaar kiya aur farmaya ke “Sirf deene Islaam hi sahi hai.”
***************
Aap ne ‘Tayseer-ush-Shagleen’ naami kitaab likhi hai.
***************
Aap ke 4 saahabzaade hain.
(1) Sayyed Hamid Ganj bakhsh urfe Faizullāh (Sajjaada nasheen)
(2) Sayyed Jaan Muhammad
(3) Sayyed Eisā
(4) Sayyed Yahyā.
***************
Aap (apne waalid) Hazrat Makhdoom Sayyed Hamid Jahaan Bakhsh Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Sayyed Hamid Ganj bakhsh rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddeeṡ Dehlawi rahmatullāhi alaihi.
****************
1010 Hijri (1602 A.D.) me Mange Hatti par Langhah daakuo ne hamla kiya. Us me Aap ko goli lagne ki wajah se aap ka intiqaal hua.
Aap ka wisaal 23 Sha’abaan 1010 Hijri (16 February 1602 A.D.) ko hua.
Aap ko Uch me dafn kiya gaya.
Phir 1025 Hijri (1616 A.D.) me bashaarat milne par Sayyed Hamid Ganj bakhsh ne Aap ke jisme aqdas ko Uch se Multan muntaqil kiya.
Aap ka mazaar Multan (Punjab, Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Peer Sayyed Jamaal-ud-deen Moosā Paak Shaheed Qaadri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments