*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Olmao ki Bargah me Sawal he ke Baz mukarrir Hazrat Ek wakiya Bayan karte he Ke Nabi ye pak Sallallahu alayhi Wasallam par ek Budhi Orat Kachra Dalti thi to Nabi Sallallahu alayhi Wasallam use kuchbhi nahi Kehte the or Jab Vo Bimar Ho Gai to Uski Khabar Dekhne ke liye bhi Gaye Ke 2 3 Din se Bdhiya Q nahi Dikh Rahi he Jo Mujh par Kachra Dalti thi Wagera Wagera
Or isse ye sabit karna chate he ke Dekho Nabiye pak ne Kafiro ko bhi Kuch nahi kaha Or Hame bhi Kisi ko Kuch nahi kehna chahiye
Kiya Ye hadees sahi he Rehnumai farmaye
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Burhi Aurat Ka Huzur ﷺ Par Kurha Kachra Dalne Wali Riwayat Mauzu W Be Asl He, Hadis Ki Kisi Bhi Mo'atebar Kitab Me Iska Zikr Nahi, Jo Mukarrireen Ise Bayan Karte He Unhe Chahiye Ki Pahle Is Hadis Ki Sahih Sanad Pesh Kare..
Isi Tarah Ke Ek Sawal Me Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,
Aysi Riwayat Meri Nazar Se Nahi Guzri Lihaza Iske Bare Me Kuchh Nahi Kaha Ja Sakta.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-415)*
Albatta Iske Bar Aqs Riwayat Ahadise Karima Me Milti He ki,
کنت بین شرجاربین ابی لھب وعقبہ بن ابی معیط ان کان لیأ تیان بالفروث فیطر حانھا علی بابی حتی نہم لیأتیون ببعض مایطور حون من الاذی
Ba'az Kitabo Me Ye Riwayat Kuchh Alfaz Ke Izafe Ke Sath Yuñ He,
قال رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم کنت بین شرجاربین ابی لھب وعقبہ بن ابی معیط ان کان لیأتیان بالفروث فیطر حانہا علی بابی حتی نہم لیأتیون ببعض مایطور من الاذی فیطرحونہ علی بابی فیطرج بہ رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم فیقول بابی عبد مناف ای جوار ہذا ثم یلقیہ بالطریق
In Dono Riwayato Ka Mafhoom He Ki Nabi e Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki,
Me Abu Lahab Or Uqba Bin Abi Mu'aeet Do Badtareen Padosiyo Ke Bich Me Rahta Hu Jo Gobar Ke Ujh or Ba'az Awqat Takleef Dene Wali cheeze mere darwaze par fekte he to nabi e akram ﷺ bahar nikalte or in dono se kahte ki ay abde manaf ki awlad ye konsa Pados he matlab kya yahi ek padosi ka haq hota he ? Fir us Gandagi ko raste se hata dete.
Is Riwayat Se Do Baate Maloom Hui,
Awwal He ki nabi e kareem ﷺ ne Abu Lahab or Uqba bin abi mu'aeet jo bilkul aap ke pados me rahte the bas ek diwar ka farq tha in dono ko kuda gandagi wagairah dalne ke sabab badtareen Padosi Bataya..
Or Dusri Baat Ye ki Dono ko ye Tambeeh ki ke kya yahi padosi ka haq hota he..
In Dono Riwayato se Ye Baat Wazeh hui ki nabi e Akram ﷺ Ne Kisi Burhi Padosi Ko Kuda Karkat Dalne par Na Badtaareen Padosi Qarar Diya Or Na Use Koi Tambeeh Ki Or Na Uske Ghar Ja kar Uska Kaam Kiya.
Balki Abu Lahab Or Uqba Bin Abi Mu'aeet Ko Badtareen Padosi Bataya Or Unhe Tambeeh Ki, Balki Bukhari Shareef Ki Riwayat Me Uqba Bin Abi Mu'aeet Wagairah Ke Liye Dua e Halakat Ka Bhi Zikr He.
*📚(Kanzul Ummal, J-9, S-52)*
*📚(Jame Us Sageer Lil Suyuti, J-1, Hadis-9760)*
*📚(Jame Ul Ahadis Lil Suyuti, J-5, S-409)*
*📚(Seerat Ibne Hishsham, J-1, S-4460)*
Lihaza Mukarrireen Hazraat Ko Chahiye Ki Is Tarah Ki Mauzu Riwayat Bayan Na Kare, Balki Huzur ﷺ Ki Seerate Tayyabah Ke Sachche Or Mustanad Waqe'aat Bahut He Use Bayan Kare.
Isi Tarah Se Hazrat Allama Mufti Zulfiqar Naeemi Sahab Qibla Ne Bhi Ek Sawal Ke Jawab Me Taherir Farmaya He..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments