Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Namaz E Jum'ua

Namaz E Jum'ua

✅ Mehboobe Kibriya Mukhtare Kul Khatam Ul Rusul  Ka Irshad hai. "Jisne achhi tarha wazu ki fir Jumua ko aaya awr (Qutba) suna awr chup raha, iske in gunahon ki maghfirat hojayegi jo is Jum'ua awr dusre Jum'ua ke darmiyan hain awr mazeed 3 din ke gunaho ke bhi. awr jisne kankri chuwi isne laghu kiya (yani Qutba sunne ki halat me itna kam bhi laghu me dakhil hai ke koi kankari padi ho to isse hata diya jaye.)" (Muslim, Abu Dawood, Tirmizi, Ibne Majah)

✅ Aaqa O Moula Nabi E Kareem  ka Irshaade Girami hai "Jo 3 Jume susti ki wajah se chhod dega ALLAH Ta'ala iske Dil par mohar kardega (awr wo ghafilo me hojayega) (Abu Dawood, Tirmizi) ek awr riwayat me haike "Jo 3 Jume bila uzr chode woh Munafiq hai" (Ibn Khazima)

Namaz E Jum'ua Farz E Ain hai awr iski farziyat Zohar se ziada mouaked hai awr iska munkir kafir hai. har Musalman Mard par jo Baligh, Tandurust, Azad awr Muqeem hai Jum'ua Farz hai. Namaze Jum'ua keliye jaldi jana, Miswak karna, achhe kapde pehanna, Khushbu lagana awr pehli Saff me baithna Mustahab hai awr Ghusul karna Sunnat.

Jo chizien Namaz me haraam hain maslan Khana Peena Salam O Kalam waghaira ye sab Qutbe ki halat me bhi haraam hain albatta Khateeb Amr bil Maroof karsakta hai. jab Qutba padha jaye to tamam Hazeerin par sunna awr Chup rehna Farz hai jin logon tak Imam ki awaz na pohanch rahi ho inhe bhi Chup rehna Wajib hai. agar kisiko buri bath karte dekhe to Haath ya Sar ke ishare se mana karsakte hain, Zuban se najaiz hai.

Post a Comment

0 Comments