ALLAH Walon Ki Namaaz
Namaaz is Shaks Ki Tarha Padhni Chahiye Jisse Yaqeen Hoke Yeh iski Zindagi Ki Akhri Namaz Hai. Hazrat Khatim Balqi رحمته الله عليه Se Kisine Pocha Aap Namaz kaise Padhte Hain? Apne Farmaya ''Jab Namaz ka Waqt Hota hai To Achhi Tarha Wazu Karke Jaye Namaz Per itminaan Se Khada Hojata Hu Aur Yeh Tasawur karta Hu ke Ka'aba Mere Samne Hai Jannat Meri Dayi Taraf Aur Dozakh meri Bayi Taraf Hai Aur Mein Pul E Sirat Per Khada Hu Aur Main Samjhta Hu Ke Mout Ka Farishta Mere Sar Per Hai Aur Yeh Meri Zindagi Ki Akhri Namaz hai. Phir Mein Nihayat Aajizi Se ALLAHU Akbar Kehta Hu Maane Ko Zehan Me Rakh Ker Tilawat Karta Hu Aur Nihayat Khushu Khuzu Se Namaz Ada Karta Hu Phir ALLAH Ta'ala ki Rehmat Se iske Qubool Hone Ki Umeed Rakhta Hu Aur Apne Aamaal Ke Naqis Hone ki Wajah Se iske Thukra Diye Jane Ka Khauff Karta Hu''. ALLAHU Akbar
Yeh Hai ALLAH Walon ki Namaz! Ba'ari Ta'ala Hume Awliya Kiram Ke Naqshe Kadam Per Chalne Ki Taufeeq Ata Farmaye Aameen.
0 Comments