بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 46 « ★ Aap ﷺ Ki Wasiyat Aur Nasihat ★ •────────────────• ⚘⌬ ➤ Har Qaum Aur Mazhab Ke Maan Ne Wale Log Apne Buzurg Peshwa Aur Rahnumao Ki Wasiyato Aur Nasihato Ka Khaas Khayal Rakhte Hain Aur Us Par Amal Karne Ko Har Haal Me Zaruri Samajhte Hain Is Me Koi Shak Nahi Ki Allah Ta’ala Ne Musalmano Ko Apne Mahboobﷺ Ki Surat Me Jaisa Rahnuma Ata Farmaya Dunya Ki Kisi Qaum Ko Nahi Mila Aur Na Hi Kisi Ko Mil Sakta Hai Aur Ye Haqiqat Hai Ki Ham Apne Rab Ke is Ehsaan Ka Shukriya Apna Sab Kuchh luta Kar Bhi Nahi kar Sakte Hain To Kam Se Kam itna Har Musalman Par Zaruri Hai Ki Kuch Nahi Sahi To Apne Us Mahboob Paigamberﷺ ,Jin Ke Sadqe Me Hame Do Jahan Ki Nematen Haasil Hui Aur Jin Ke Nazre Karam Ke Ham Dunya Aur AaKhirat Me Mohtaaj Hain Aur Jo Hamari Ummido Aur Aarzuo Ke Markaz Hain Ham Un Ki Nasihato Par Zarur Amal Kare Taaki Ham Unki Nazre Karam Ke Mustahiq Ho Sake isi Garaz Se Yahan Par Aapﷺ Ki Kuchh Wasiyaten Aur Nasihaten Pesh Ki Jaati Hain |
Share on |
0 Comments