بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 49 « ★ Aapﷺ Ki Wasiyat Aur Nasihat ★ •────────────────• 📑 Kitaab Aur Sunnat Par Amal Karne Aur Ahle Sunnat Wa Jamaa’at Ke Saath Rehne Ki Wasiyat...★↷ ⚘⌬ ➤ Aap ﷺ Ne Baar Baar Apni Ummat Ko is Baat Se Khabar Daar Kiya Ki Mere Baad Log Alag Alag Firqo Me Batt Jaaenge Aur Tarah Tarah Ki Gumrahiyo Ki Wajah Se Jahannam Me Jaaenge. is Liye Tum Har Haal Me Kitaab o Sunnat Par Amal Karna Aur Ahle Sunnat Wal Jamaa’at Ke Saath Rahna Aur Apne Deen Ko Duniya Ke Badle Me Nahi Bechna Kyun Ki Yahi Woh MasLak Hoga Jis Ki Pairwi Karne Wale Sidhe Raaste Par Honge Aur Jannat Mein Jaaenge ⚘⌬ ➤ Aap ﷺ Ne Kitaab(Quran) Aur Sunnat Ke Baare Me Taakid Karte Hue irshad Farmaya Ki Aye Logo Main Ne Tum Me Do Chizen Chhoda Hai, Agar Tum Un Ka Daaman Mazbuti Se Thaame Rahoge To Tum Kabhi Gumrah Nahi Hoge Un Me Se EK Allah Ki Kitaab Hai Aur Dusri Tumhare Nabi Ki Sunnat Hai 📬 Al-Mustadrak,Hadees No.318 - 319 📒 ⚘⌬ ➤ Sunnat Ke Saath Saath Aapﷺ Ne Jama’at Ke Saath Rehne Ka Bhi Taakid Kiya Aur Farmaya Ki Qasam Hai Us Zaat Ki Jis Ke Qabza e Qudrat Me Muhammad Ki Jaan Hai Meri Ummat Zarur 73 Firqo Me Batt Jaaegi To Un Me Se Sirf Ek Jannati Hoga Aur Baaqi 72 Firqe Jahannami Honge Puchha Gaya Ki Ya Rasoolallah ﷺ Woh Ek Jannati Kaun Hoga? To Aap ﷺ Ne Farmaya Ki Woh Jama’at Hai.. 📙 Ibne Majah,Hadees No. 3992 - 3993 |
Share on |
0 Comments