بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 69 « Rishtedaar Aur Seerat-E-Mustafaﷺ •────────────────• ⚘⌬ ➤ Aaj Ke Daur Mein Ek Rishtedaar Daulat Ki Bahut Zyada Hone Ki Wajah Se Shandaar Se Shaandaar Mahlo Mein Aish Ki Zindagi Guzaar Raha Hai Un Ke Bachche Dunya Ki Behtarin Se Behtarin Kapde Pehan Rahe Hain Ek Se Badh Kar Ek Khaane Khaa Rahe Hai Aur Dunya Ki Har Aish Aur Aaram Wali Chiz Se Lutf Utha Rahe Hain Jab Ki Un Ki Nazron Ke Saamne Us Ke Rishtedaar Bhok Se Bilak Rahe Hain Aur Un Ke Bachche Faaqe Karne Par Majbur Nazar Aa Rahe Hain Un Ke Badan Par Normal LiBaas Bhi Nazar Nahi Aa RaHa hai Us Ke Baad Bhi Un Ke Dil Mein Rahm o Karam Ka Koi Jazba Nazar Nahi Aata. Balki Kabhi Kabhi Un Ki Garibi Aur Muflesi Ki Wajah Se Un Se Rishta Kata Jaata Hai Aur Qaribi Se Qaribi Hone Ke Baad Bhi Pahchaan Ne TaK Se inkaar Kar Diya Jaata Hai Jis Ki Wajah Se Hamare Society Mein Bahut Saare Log Taklif Aur Musibat Ki is Maar Se Karaah Rahe Hain Aisi Haalat Mein Hamare Society Ko in Taklifo Se Agar Koi Nikaal Sakta Hai To Woh Huzur ﷺ Ki Paakiza Seerat Aur Aapﷺ Ki Behtarin Taalim Hai Is Liye Yahan Par Rishtedaaro Ke Baare Mein Aap ﷺ Ki Seerat Aur Aapﷺ Ki Paakiza Taalimat Pesh Ki Jaati Hain. |
Share on |
0 Comments