Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ » Pᴏꜱᴛ Nᴏ 70 « Rishtedaar Aur Seerat-E-Mustafaﷺ •────────────────• ⚘⌬ ➤ Rishtedaaro Ke Saath Aap ﷺ Ki Hamdardiya
Aapﷺ Ke Chacha Apne Dusre Bhaiyo Ki Tarah Khush Haal Nahi The Aksar Tangi Ka Saamna Rehta Tha Makka Mein Jab Qahat Pada To is Se Un Ki Maali Haalat Aur Kamzor Ho Gayi Aapﷺ Ko Un Ki Ye Taklif Nahi Dekhi Gayi To Aapﷺ Ne Apne Chacha Hazrat-E-Abbas Radhi Allaho Anho Ke Paas Gaye Aur Unhe is Baat Par Ubhara Ki Ham Logo Ko Mil Kar Janab-e-Abu Talib Ka Bojh Baant Lena Chaahiye Un Ke Ek Bete Ki Parwarish Ki Zimmedari Main Le Leta Hun Aur Ek Ki Aap Le Lijiye is Tarah Un Ka Bojh Halka Ho Jaaega.Phir Aapﷺ Aur Hazrate Abbas,Abu Talib Ke Paas Gaye Aur Un Se Apne Aane Ka Maqsad Bayan Kiya Abu Talib Ke 4 Bete The Talib,Aqeel, Zaafar Aur Ali Unhone Kaha Ki Talib Aur Aqeel Ko Mere Paas Rehne Dijiye Aur Baaqi Ke Baare Mein Aap Logo Ki Jo Marzi Ho Karen To Huzurﷺ Ne Hazrat-e-Ali Ko Le Liya Jo Sab Se Chhote The Aur Hazrat-e-Zaafar Ko Hazrat-E-Abbas Ne Le Liya
📬 Ziyaun Nabi,Vol:-2,Page No.229-230 📚
⚘⌬ ➤ is Tarah Se Aapﷺ Ne Apne Chacha Ka Sahara Bane Aur Un Ka Bojh Halka Kiya in Ke Elawah Aapﷺ Ke Aur Bhi Jo Rishtedaar The Aapﷺ Un Ki Zindagi Bhar Khair Khaahi Karte Rahe Yahan Tak Ki Jo Doodh Ke Rishte Se Bhi Aapﷺ Ke Rishtedaar The Un Ka Bhi Khayal Farmate Rahe Jaisa Ki Ek Baar Jab Qahat Hui To Aapﷺ Ne Doodh Ke Rishte Se Lagne Wale Maa Baap Ko 40 Bakriya Aur Ek oont Ata Farmaya Aur Apni Ummat Ko Bhi Yahi Taalim Diya Yahan Par Un Mein Se Kuchh Pesh Kiya Jaata hai. 📝in Sha Allah Agli Post Jari Hai.. |
0 Comments