Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

_______ Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Taymmun Ka Bayaan

Tayammum Kab Kiya Jaye.⊙➻ ┐

Jise Wazu Ya Ghusul Ki Hajat Ho Magar isse Pani istemal Karne Per Qudrat Na Ho isse Tayammum Karna Chahiye. Iski Chnd Sutarein Darja Zail Hain ⊙➻ ┐

⊙➻ Charon Taraf Ek Ek Mile Tak Pani Ka Pata Naho.

⊙➻ Ya Aisi Bimari Ho ke Pani Ke Ba'as Shadeed Bimar Hone Ya Dair Me Achha Hone Ka Sahih Andesha Ho Khwa Ye isne Khud Azmaya Ho Ya Kisi Musanad Gair Fasiq Tabeeb Na Bataya Ho.Ya itni Sakt Sardi Hoke Nahane Se Marjane Ya Bimar Hojane Ka Qawi Andesha Ho Aur lihaaf Wagairah Koi Aisi Cheez iske Paas Naho Jisse Nahane ke Ba'd Sardi Se Bach Sake.

⊙➻ Train Ya Bus Se Utar Kar Pani istemal Karne Me Gadi Chuth Jane Ka Khadsha Ho.

⊙➻ Ya Wazu, Ghusul Karne Ki Surat Mein Namaz Eidain Nikal Jane Ka Gumaan Ho.
___________________________________
Tayammum Ka Tariqa Aur Ahem Masail

*Tayammum Mein 3 Farz Hain.⊙➻ ┐

①➻ Niyat Karna Ke Yeh Tayammum Wazu Ya Ghusl Ya Dono Ki Paki Keliye Hai.

②➻ Saare Munh Par Is Tarha Haath Pherna Ke Baal Barabar Jagah Bhi Baqi Na Rahe.

③➻ Dono Haathon Ka Kohniyon Sameet Masah Karna Ke Koi Hissa Baqi Na Rahe.

✅ Tayammum Ka Tariqa Yeh Hai ke Niyat Kar Ke Bismillah Padh kar Dono Haath Zameen Ki Jins(جنس) Se Taluq Rakhne Wali Kisi Chiz (Maslan Mitti, Pathar, Marbal Ya Aisi Chiz Jis per Kafi Gard O Guba'ar Ho) Par Marein Aur Agar Ziada Mitti Lag Jaye To Ek Haath Ke Anguthe Ki Jadh Ko Dusre Haath Ke Anguthe Ki Jadh Par Marein.Fir Dono Haath Saare Muh Par is Tarha Pherein Ke Koi Jagah Baqi Na Rahe. Honth ka wo hissa jo Aadatan Muh Bandh Hone Ki Halath Me Dikhai Deta hai is Par Bhi Masah Karna Zaruri Hai. Agar Dadhi Hoto iska Khilal Bhi Karein. phir Dobara Mitti Ya Pathar Par Haath Marein Aur Pehle Daye Haath Ka istarha Masah Karein Ke Baye Haath Ke Anguthe Ke Alawa Wo Char Ungliyon Ka Pait Daye Haath Ki Pusht Par Rakhein Aur Ungliyon Ke Sirre Se Kohniyon Tak Lejayein Aur Phir Wahan Se Baye Haath Ki Hateli Se Daye Haath Ke Pait (Yani Androoni Taraf) Par Pherte Huye Gathe Tak Layein Aur Baye Anguthe Ke Pait Se Daye Haath Ke Anguthe Ki Pusht Ka Masah Karein.
isi Tarha Daye Haath Se Baye Haath Ka Masah Karein. Mitti Ya Pathar Par Haath Marte Waqt Ungliyan Khuli Huye Halath Me Ho. Agar Ungliyon Ke Darmiyan Gubaar Pohanch Gaya To inka Khilal Karna Sunnat Hai Aur Agar Pathar Wagaira Se Tayammum Kia Jaye Jis Par Gubaar Na Hoto Ungliyon Ka Khilal Farz Hai.
_______________________________________
Tayammum Ka Tariqa Aur Ahem Masail

Tayamum Ke Waqt Khwatein is Baat Ki Ahtiyat Rakhein Ke Anguthi, Challe, Nath Aur Degar Zewarat Hata Kar Jab ke Nail Polish Utar kar jild Ke Har Hisse Par Haath Pherna Zaruri Hai.
Bimari Mein Agar Thanda Pani Nuksan Karta Hai To Garam Pani istemal Karna Chahiye Agar Garam Pani Na Mile To Tayammum Kiya Jaye. Yunhi Agar Sar Par Pani Dalna Nuksan Karta Hai To Gale [ गाले ] Se Nahaye Aur Geela [ गीला ] Haath Pher Kar Pore Sar Ka Masah Kare. Agar Kisi Azu Par Zakhm Ke Ba's Patti Bandhi Ho Ya Plaster Chadhaya Ho to haath geela karke is Patti Ke Upar Pher Diya Jaye Aur baqi jism ko dhoya jaye. Jab itna Aram Ho jaye Ke Patti Parse Pani Bahane Me Nuksan Naho To Pani Bahaye.Phir Jab itna Aram Ho Jaye Zakhm Wali Jagah Masah Kar skta Ho To Fauran Masah Kare. phir Jab itni Surat Ho jaye Ke Azu Par Pani Baha Sakta Hoto Bahaye. Garz Yeke Aala Par jitni Qudrat Hasil Hoti Jaye dna Par iktefa jaiz Nahi. agar Namaz ka Waqt itna Kam Rehgaya Ke Wazu Ya Ghusul Karne ki Surat Me Namaz Qaza Ho jayegi To Tayammum Kar Ke Namaz Padhleni Chahiye Albatta Wazu Ya Ghusul Kar Ke is Namaz ko Dohrana Zaruri Hai. Jis Uzr Ke Ba's Tayammum Kiya Gaya Agar Woh Khatam Ho jaye Y Jin Chizon se Wazu Tutta hai inse Wazu Ka Aur Jin Baaton Se Ghusul Wajib Hota hai inse Ghusul Ka Tayammum Tut Jata Hai.
_________________________________________

Post a Comment

0 Comments