*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Shab E Qadr Ko Dhundne Ki Kya Nishaniyan Hai???
*🌹JAWAB:-🌹*
Shabe Qadr Ke Muta'alliq Ikhtelaf He Ki Ye Konsi Raat He Magar Mash'hoor Ye He Ki Ramzan Shareef Ki 27 Raat He.
Is Raat Ki Bahut Si Fazilate He, Is Liye Sarkare Do Aalam ﷺ Ne Shabe Qadr Ko Ramzan Ki Aakhri Raat Me Talash Karne Farmaya, Is Raat Ko Dhundh Ne Ki Kuchh Alamate He,
Jaisa Ki Hadees Shareef Me He,
Hazrat Abaada Bin Saamat RadiAllahu Anhu Ne RasoolAllah ﷺ Se Shabe Qadr Ke Bare Me Puchha, To Aap ﷺ Ne Farmaya, Vo Ramzan Ke Aakhri Ashra Me He. Vo Kisi Taaq Raat Me Hoti He, 21vi Raat Ya 23vi Raat Ya 25vi Raat Ya 27vi Raat Ya 29vi Raat Ya Fir Ramzan Ki Aakhri Raat Me. Jisne Iman W Ikhlas Ke Sath, Is Raat Me Qayam Kiya, Uske Sabeqa Gunaho Ki Magfirat Kardi Jayegi Or Uski Alamat Me Se Ge He Ki Raat Intehaai Rahat Bakhsh, Saaf, Pursukoon Or Khamosh Hoti He, Na Zyada Garam Hoti He Na Zyada Thandi Hoti He. Usme Chand Roshan Hota He. Is Raat Me Subah Tak Kisi Sitare Ke Liye Tutne Ki Ijazat Nahi Hoti Or Uski Alamaat Me Se Ye Bhi He Ki Uski Subah Ko Sooraj Tulu'a Hota He Goya Ki Vo 14vi Raat Ka Chand He Or Allah Ta'ala Ne Shaitan Par Haram Qarar Diya He Is Din Vo Uske Sath Nikle(yaani is ek din ke alawa roz shaitan sooraj ke sath nikalta he).
*📚(Durrul Mansoor, J-8, S-571)*
Isi Tarah *📚(Musnad Imam Ahmad, J-8, S-402, 414, Hadees- 22776, 22829)*
Isi Tarah Imam She'araani Rahematullah Alaihi Ne Shabe Qadr Ki Kuchh Alamate Bayan Farmai Hai Ki Ye Raat Chamakdaar Or Shaffaf Hogi, Na Zyada Garam Or Na Zyada Thandi Mu'atadal Hogi. Is Raat Me Na Badal Hoge Na Hi Barish Hogi Or Na Hi Sitare Tutege Jo Shaitano Ko Maaare Jate Hai. Or Is Raat Ki Subah Ko Suraj Bagair Shua'a Ke Nikale Ga. Or Is Raat Me Kutte Nahi Bhonkte.
*📚(Kashful Gunna, J-1, S-213)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️16 May 2020, 22 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments