Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Shaikh Abul Hasan Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi

Hazrat Shaikh Abul Hasan Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi :

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Sirr-ud-deen, Saalik-e-Malakoot.
**************
Aap ki wilaadat 155 Hijri (772 A.D.) me hui.
**************
Aap ke waalid ka naam Mughalis hai.
***************
Ek baar Aap apni dukaan me baithe ke Hazrat Habeeb Reyi waha se guzre. Aap ne adab ke saath sulook kiya aur un ko khaana khilaaya. Hazrat ne Aap ke liye dua ki. Aur un ki dua se Aap ke dil ka aalam badal gaya aur Tasawwuf aur sulook ki ta’aleem haasil krna shuru kiya.
****************
Aap Tabe Taabi'een hain.
Aap ne Hazrat Fuzail bin Ayaaz rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Ma’aruf Karkhi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Aap Hazrat Bishr Haafi rahmatullāhi alaihi ke bahot khaas dost the.
Ek martaba Aap ke Peer o murshid Hazrat Ma’aruf Karkhi rahmatullāhi alaihi ek yateem bache ko saath lekar Aap ke paas aaye aur farmaaya ke “Is bache ko kapde pehna do.” Aap ne us bache ko kapde pehna diye.
Hazrat ne dua farmai ke “Khuda ta’aala dunya ko tum se door kar de aur tumhe is shugl se raahat de.”
Hazrat ki is dua ki barkat se Aap dunya se kinaara-kash ho gaye.
****************
Aap Imaam e Ahle tasawwuf hain.
Aap ne Iraq me sab se pehle Tasawwuf ki ta’aleem dena shuru kiya.
***************
Ek baar Baghdad me bahot badi aag lagi. Jis se pure shaher me nuqsaan hua. Hazrat Sirri Saqati apni dukaan ke haalaat dekhne ke liye nikle. Waha pahunche to pata chala ke Aap ki dukaan salaamat hai. Aap ne foran kaha “Alhamdillāh.” Phir aap ko khayaal aaya ke “Khud ki dukaan salaamat dekhkar ALLĀH ka shukr maante ho magar itne khudgarz ho gaye ke tumhe dusro ke nuqsaan aur takleef ka khayaal kyun nahi aaya?”
Is baat ke liye 30 saal tak tauba karte rahe.
****************
Ek martaba Aap raaste se guzar rahe the. Aap ne ek sharaabi ko dekha jo sharaab ke nashe me raah me pada hua tha aur be-hoshi ke aalam me bahot bakwaas kar raha tha. Aap us ke paas thehar gaye aur farmaaya “Yeh zabaan to zikr e haq ke liye thi. Ise kaun si aafat pahunchi ki yeh aise bakwaas kar raha hai?” Phir Aap ne paani mangwaaya aur us ka munh aur zabaan dhone lage. Aur phir aage tashreef le gaye.
Sharaabi hosh me aaya to logo ne use saara qissa sunaaya. Sharaabi ko jab pata chala ke Hazrat Sirri Saqati mera munh aur zabaan dho gaye hain, woh rote hue kehne laga “Ilāhi! Tere maqbool bande ki haya khaakar main sache dil se tauba karta hu. Tu apne maqbool bande ke tufail mujhe bakhsh de.”
Raat ko Hazrat Sirri Saqati ne khwaab me dekha ki koi kehne waala keh raha hai “Aye Sirri! Tum ne hamari khaatir us sharaabi ka munh dhoya. Hum ne tumahri khaatir us ka dil dhoya.”
*******************
Ek baar Aap wa’az kar rahe the Ahmad bin Yazeed naami ek shakhs waha aaya. Wo khalifa ka wazeer tha. Aap us waqt farma rahe the ke “Tamaam makhlooq me insaan sab se kamtar hai. Magar woh khud ko itna bahaadur samajhta hai ke gunaah karne se darta nahi.” Aap ke in alfaaz ka us shakhs par aisa aṡar hua ke woh apne ghar jaakar tanhai me baith gaya. Us ne raat ko khaana bhi na khaaya. Subah ko wo saada libaad me aap ki baargaah me haazir hua aur Aap se arz kiya ke “Huzoor! Kal aap ke dars ne mere dil par gehra aṡar kiya hai. Aap mujhe ALLĀH ke qareeb hone ka raasta bataiye.” Aap ne farmaaya “Ek aam raasta ye hai ke 5 waqt paabandi ke saath ba-jama’at namaaz ada karo, Zakaat dete raho aur ahkaam e shariat par amal karo. Aur dusra khaas raasta ye hai ke tum khud ko dunyaawi baato se alag kar do aur ibaadat e ilāhi me lage raho aur har baat me sirf ALLĀH ta’ala ki raza ki khwaahish rakho is ke ilaawa kuchh nahi.” Yeh sunkar Ahmad bin Yazeed foran jangal ki taraf chala gaya aur ibaadat e ilāhi me lag gaya.
Kuchh din baad us ki maa aai aur rote hue Aap se kaha “Mera ek hi beta hai aur pata nahi woh kaha chala gaya hai?” Aap ne farmaaya “Fikr mat karo. Tumhara beta jaldi hi waapas aayega aur jab woh aayega to main tumhe ittilaa de dunga.” Chand din baad woh shakhs faqeeri libaas me aaya magar Aap ki ziyarat karke chala gaya. Dusri baar jab woh milne aaya tab Hazrat ki khidmat me hi intiqaal kar gaya.
***************
Hazrat Junaid al-Baghdadi rahmatullāhi alaihi farmaate hain ke
Ek baar Hazrat Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi ne farmaaya ke “Ek raasta aisa hai jo sidha Jannat ki taraf le jaata hai.” Maine puchha “Woh raasta kaun sa hai?”Aap ne irshaad farmaaya “Kisi se kuchh maango nahi, Kisi se kuchh lena nahi aur jo cheez dusre (haajatmand) ko de sakte ho woh cheez tumhare paas rakhna nahi.”
****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain ki :
(1) Aarif (Soofi) chaand ki tarah hona chaahiye jis ki roshni se tamaam kaa'inaat ko faa'ida milta hai, woh zameen ki tarah hona chaahiye jo achhe aur bure tamaam logo ke liye hai (sab ka bojh uthaati hai), woh paani ki tarah hona chaahiye jo sab ko (sab ke dilo ko) paak karta hai, aur woh aag ki tarah hona chaahiye jis ki garmi se sab ko faa'ida milta hai.
(2) Soofi ke andar 3 khaslaten hona zaroori hai :
[1] Us ka Noor-ul-Maarifah Noor-ul-Wara (Zohad o Taqwa) se alag nahi hona chaahiye.
[2] Us ka Baatin (Ilm) us ke Zaahir (Amal) se alag nahi hona chaahiye.
[3] Use apni kisi bhi Karaamat se kisi bhi Haraam cheez par parda nahi karna chaahiye.
(3) Jo shakhs apne nafs par qaaboo nahi paa sakta woh dusre ko kaise paak karega (hidaayat dega)?
(4) Zabaan aur chehra dil ke halaat zaahir karte hain.
Aur Insaan ke qalb 3 qism ke hote hain :
[1] Chattaan ki tarah mazboot hai jise koi hila nahi sakta.
[2] Darakht ki tarah hote hai jo aandhi me hilne lagta hai.
[3] Parinde ki tarah hota hai jo hawa ke saath udne lagta hai.
(5) Sacha Soofi hamesha ALLĀH ta’ala se judkar rehta hai. ALLĀH ki yaad se door hona us ka sab se bada ghazab hai.
(6) Apne Rab ke farmaan bardaar ban jaaoge to dunya tumhari taabedaar ban jaayegi.
(7) Jis ke dil dunya ki mohabbat se bhara hua ho us ke dil me Khauf e khuda, Tawakkal, Haya, Mohabbat e Rabbul aalameen aur Qurb e ilāhi daakhil nahi ho sakte.
(8) Sab se behtar Husn e sulook yeh hai ke tum dusre ke zulm bardaasht karo magar un ko koi takleef na pahunchao.
(9) Jo badla lene ki taaqat hone ke bawajood ma’af kar deta hai ALLĀH ta’ala use bakhsh deta hai aur us ke gunaah ke azaab se najaat ata farmaata hai.
(10) Jo kuchh neki karni hai wo jawaani me hi kar lo kyun ki budhaape me tum neki karna chaahoge to bhi sahi tareeqe se nahi kar sakoge.
(11) Mo’min se mahaz shak o shuba ki bina par alaahida nahi hona chaahiye hatta ke zaahiri taur par us ka gunaah na dekh lo.
*************
Aap Hazrat Shaikh Ma’aruf Karkhi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ka silsila ‘Saqatiya’ kehlaata hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaikh Junaid al-Baghdadi rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Shaikh Abul Hasan, Ahmad Noori rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Shaah Abu Muhammad Roomi rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Shaah Shaikh e Kabeer rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Shaah Hartaboon rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Shaah Abul Abbaas Mazroof rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Shaah Abu Hamzah rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Shaah Fatal al-Mausuli rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Shaah Abdullāh Harraar rahmatullāhi alaihi,
(10) Hazrat Shaah Saeed Abraar rahmatullāhi alaihi,
(11) Hazrat Shaikh Abul Qaasim Nasr rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ke wisaal se pehle Hazrat Junaid al-Baghdadi aap ki khidmat me aaye. Aap beemaar the. Waha ek pankha pada tha. Hazrat Junaid al-Baghdadi ne woh pankha uthaaya aur aap ko hawa karne lage. Aap ne un ko roka aur farmaaya “Junaid! Pankha neeche rakh do. Aag pankhe se zyada taaqat waali hai.”
Hazrat Junaid al-Baghdadi ne kuchh naseehat ke liye kaha. Aap ne farmaaya “Logo ki sohbat me rehkar ALLĀH ta’ala ki mohabbat se ghaafil na hona.”
Yeh kehkar Aap ne intiqaal farmaaya.
********************
Aap ka wisaal 13 Ramazaan 253 Hijri (867 A.D.) ko Mangal ke roz 98 saal ki umr me hua.
Aap ka mazaar Baghdad (Iraq) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Sirri al-Saqati rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments