*🌹SAWAL:-🌹*
Huzur ﷺ Ka Hazrat Aaisha Ka Nikah Ki Hikmat Kya He Is Par Gair Muslim Aitraaz Karte He Iska Kya Jawab He
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Allah Ke Hukm Par Aap ﷺ Ne Ummul Mu'amineen Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Se Nikah Farmaya Jab Ke Unki Umr 6 Saal Thi, Magar Usi Waqt Rukhsati Nahi Ki Gai, Jab Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Ki Umr 9 Saal Ki Hui Tab Aap Ki Rukhsati Hui.
Aap ﷺ Ki Hazrate Aaisha Se Nikah Ki Kai Saari Hikmate Thi.
Ab Sawal He Ki, Jis Waqt Aapki Rukhsati Hui Us Waqt Kya Hazrate Aaisha Nabalig Bachchi Thi ??
Nahi, Balki Mulke Arab Ke Mausam Or Wahañ Ki Tarteeb Ke Hisab Se Vo Umr Bachcho Ki Rukhsati Ke Liye Qabile Qubool Umr Thi.
Tarikh Or Jadeed Science Is Baat Ko Wazeh Karte He Ki, Buloogat Ki Umr Mukhtalif Zamane Or Mukhtalif Ilaqo Ke Hisab Se Mukhtalif Hoti Rahi He.
Maujuda Science Ki Tahqiqat Is Baat Ko Sabit Karte Hai Ki Ladkiya Mukammal Buloogat Ki Umr Ko 9 Se 15 Saal Ki Umr Ke Darmiyan Kisi Bhi Waqt Pahunch Sakti He.
The Average Temperature Of The Country Is Considered The Chief Factor With Regard To Menstruation And Sexual Puberty"*
*📚(Women : An Historical, Gynecological And Anthropological Compendium, Volume I, Lord And Brandsby , 1998, P. 563)*
In Dalail Ki Roshni Me Agar Is Waqeaa Ko Dekhe To Ye Ashkaal Ke Hazrate Aaisha Rukhsati Ke Waqt Na Balig Bachchi Thi, Bilkul Khatm Ho Jata He. Or In Saare Waqeaat Or Tarikhi Pas Manzar Ko Samne Rakh Kar Dekha Jaye To Kisi Ko Bhi Is Nikah Par Aitraz Karne Ka Koi Bhi Mauqa'a Baqi Nahi Rahta.
*⏩Hazrate Aaisha Se Nikah Ki Hikmat*
Hazrate Aaisha Se Nikah Huzur ﷺ Ne Allah Ta'ala Ke Hukm Ki Ta'ameel Par Kya Tha.
*📚(Sahihul Bukhari, J-5, Hadees-235)*
Huzur ﷺ Ki Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Se Nikah Ki Ek Hikmat Ye Bhi Thi Ki Hazrate Aaisha Ki Bachpan Me Jo Zahanat Or Samajdari Ki Alamat Or Nishaniya Dekhi To Is Bina Par Unse Shadi Karna Pasand Farmaya Taa Ki Nabi ﷺ Ke Af'aal Or Aqwaal Ko Dusro Ki Banisbat Sahih Or Bahetar Tariqa Se Naql Kar Sake.
Or Fir Haqiqatan Huva Bhi Aysa Hi Bade Bade Sahaba S Kiram Aaisha RadiAllahu Anha Se Ruju'a Kaarte Or Unse Masail Puchha Karte The.
Jaisa Ki Hazrat Saiyeduna Abu Moosa Ash'ari RadiAllahu Anhu Farmate He, Ham Ashaabe Rasool Ko Kisi Baat Me Ishkaal Hota To Ummul Mu'amineen Hazrate Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Ki Bargah Me Sawal Karte Or Aap RadiAllahu Anha Se Hi Us Baat Ka Ilm Paate.
*📚(Sunan Tirmizi, Safha-873, Hadees-3882)*
Saiyedna Aaisha Siddiqa RadiAllahu Anha Ne Allah Ke Habeeb ﷺ Ki 22000 Se Zaaid Ahadis Ham Tak Pahuchai Hai. Hazrate Aaisha RadiAllahu Anha Ka Mamooli Zahan Nahi Tha Balki Bahut Bahetrareen Quwwate Haafza Ki Malik Thi.
Or Chuñki Kam Umr Me Hi Unki Shadi RasoolAllah ﷺ Se Ho Gai Thi, To Unhe Aap ﷺ Se Bahut Sara Ilm Hasil Karne Ka Mauqa'a Mil Gaaya. Jiski Badaulat Aage Chal Kar Unhone Ek Bahut Bahetrareen Ustad, Mahir Or Faqiha Ka Kirdar Ada Kiya, To Is Shadi Ke Pichhe Badi Hikmate Poshida Thi.
Jitne Bhi Nikah Aap ﷺ Ne Apni Hayate Tayyaba Me Farmaye Vo Mardo Wale Shoq Ki Shadiya Nahi Thi, Balki Vo Hukme Ilahi Or Hikmate Khudawandi Ki Bunyad Par Thi.
1400 Saal Pahle Kam Umri Me Shadi Hona Ek Aam Si Baat Thi, Or Ye Tarikhi Haqiqat He Ki Europe Asia, Africa. Or America Me 9 Saal Ss 14 Saal Ki Ladkiyo Ki Shadiya Kardi Jati Thi.
*⏩Isaiyo Ka Aitraaz Or Isai Mazhab Me Shadi Ki Umr*
Misaal Ke Taur Par, Saint Augustin 350 AD Ne Jis Ladki Se Shadi Ki Uski Umr *10 Saal Thi.*
King Richard-2, 1400-AD Ne Jis Ladki Se Shadi Ki Uski Umr *7 Saal Ki Thi.*
Henry 8 Ne Ek *6 Saal* Ki Ladki Se Shadi Ki Thi.
Yahañ Tak Isaiyo Ki Padhi Jane Wali Aaj Ki Maujuda Bible Me He,
"But Save For Yourselves Every GIRL Who Has Never Slept Woth A Man"
*📚(Bible Book, Chapter-31, Verse-17)*
Yaani Magar Har Vo Ladki Jo Baakra He Usko Apne Liye Mahfooz Karlo.
Isaaiyo Ki Ketholic Encyclopedia Ke Mutabiq Hazrat Isa Alaihis Salam Ki Walida Hazrat Maryam Ka Nikah Unki 12 Saal Ki Umr Me 99 Bars Ke Jocef Se Hui Thi..
1929 Se Pahle Tak Bartaniya Me Charch Of England Ke Wazra *12 Saal* Ki Ladki Se Shadi Kar Sakte The.
Or Bhi Bahut He....
Yaha Tak To Isaiyo Or Magribi Mumalik Me Ladki Ki Shadi Ki Munasib Umr Or Waha Ke Ma'aroof Shakhsiyat Ke Muta'alliq Tha, Jisse Ye Saaf Hota He Ki Tarikhi Nukta Nazar Se Us Umr Ki Ladki Se Nikah Karna Ek Aam Si Baat Thi Or Isko Koi Ma'ayoob Yaani Bura Nahi Samjhta Tha.
*⏩Hindu Mazhab Me Shadi Ki Umr*
Hindu Mazhab Ki Kitab Manusmriti Me Likha He,
Ladki Balig Hone Se Pahle Uski Shadi Kar Deni Chahiye.
*📚(Gautama, 18-21)*
*⏩Hindustan Me Shadi Ki Umr*
Iske Muta'alliq Cambridge Ke Sant John's Collage Ke Jack Goody Ne Apni Kitab. " The Oriental, The Ancient And Primitive" Me Likha He Ki Hindustani Gharo Me Ladkiya Bahut Jaldi Hi Biyah Di Jati Thi.
Sri Niwas Un Dino Ke Bare Me Likhte He Jab Ki India Me Buloogat Se Qabl Shadi Karne Ka Riwaj Chalta Tha..
(1984:11) : Ladki Ko Uski Umr Ko Pahunchne Se Pahle Uski Shadi Kar Deni Hoti Thi, Hindu Law Ke Mutabik Or Mulk Ke Riwaj Ke Mawafiq Ladki Ke Baap Par Ye Zaroori Tha Ki Vo Balig Hone Se Pahle Uski Shadi Karde, Garche Ki Rukhsati Me Aksar Takhir Hoti Thi, Jo Taqreeban 3 Saal Hoti Thi.
*📚(The Oriental, The Ancient, And The Primitive, Page-208)*
Or Aysi Kam Umri Ki Shadi Ka Aaj Bhi India Me Riwaj He.
The Encyclopedia Of Religion And Ethics Me Likhte He,
Jis Ki Beti Is Halat Me Buloogat Ko Pahuchti Thi Ki Vo Gair Shadi Shuda Ho To Uske (hindu) Baap Ko Gunahgar Samjha Jata Tha, Agar Aysa Hota To Vo Ladki Khud Bakhud Sadra(nichli Zaat) Ke Darja Me Chali Jati Thi. Or Aysi Ladki Se Shadi Karna Shohar Ks Liye Baeese Ruswai Huva Karta Tha.
*Manu Ki Smriti* Ne Mard Or Aurat Ke Liye Shadi Ki Jo Umre Tay Ki He Vo Is Tarah Ke Ladka 30 Saal Ka Or Ladki 12 Saal Ki Ya Ladka 24 Saal Ka Or Ladki 8 Saal Ki...
Magar Aage Chal Kar *Bharaspati* Or *mahabharat* Ki Taleem Ke Mutabik Ayse Mauqo Par (hindu) Ladkiyo Ki Jo Shadi Ki Umr Batai Gai He, Vo 10 Saal Or 7 Saal He, Jabki Uske Baad *Shlokas* Me Shadi Ki Kam Az Kam Umr 4 Se 6 Saal Or Zyada Se Zyada 8 Saal Batai Gai He. Or Is Baat Ke Be Shumar Shawahid He Ki Ye Baate Sirf Taherir Me Nahi Thi. (Yaani In Par Amal Kiya Jata Tha).
*📚(Encyclopedia Of Religion And Ethics, Page-450)*
To Hindu Mazhab Ke Manne Walo Ki Apni Kitabo Ke Mutabiq Bhi Is Umr Me Shadi Karna Koi Ayb Ki Baat Nahi He, Jo Log Huzur ﷺ Par Aitraz Karte He Unko Chahiye Ki Pahle Tarikh Ka Or Apni Mazhabi Kitabo Ka Muta'ala Kare.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓27 May 2020, 3 Shawwal 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments