بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 09 « ┄─┅━━━━━━┅─┄ ● Buzurgan E Deen Farmate Hai Ke Aadmi Ko Waqtan Fawaqtan Tauba Wa Tajdeed E Imaan Wa Tajdeed E Nikaah Karte Rehna Chahiye Agar Yaqeeni Tor Par Kalima E Kufr Sarzad Huwa Ho To Ye Farz Hai Warna Mustahab Hai . ● Iska Tareeqa Ye Hai Ke Yuh Kahe: ''AEY ALLAH Mujhse Jo Fulan Kufr ( Yaha Kufriya Kalima Zikr Kare ) Sarzad Huwa Hai Us Se Me Bezaar Hu Aur Tauba Karta Ya Karti Hu. اشهد ان لااله الاالله و اشهد انّ محمّدا عبده و رسوله Tarjama: ''Mai Gawahi Deta Hu Ke ALLAH TA'ALA Ke Siwa Koyi Ibadat K Layaq Nahi Aur Mai Gawahi Deta Hu Ke HAZRAT MUHAMMAD ﷺ ALLAH TA'ALA Ke Bande Aur Uske RASOOL Hai. Fir Agar Shadi Shuda Hai To Do Musalman Mard Ya Ek Mard Do Aurato Ki Maujoodgi Me Naye Sire Se Naye Mahar Par Nikaah Kare. ● Qazi Se Nikah Padhwana Zaroori Nahi Khud Bhi Aurat Se Kah Sakta Hai ''Maine Tujhse Nikaah Kiya'' Woh Kahe, ''Maine Qubool Kiya'' , ● Aur Agar Yaqeeni Tor Par Kufr Sarzad Na Huwa To Ahtiyatan Rozana Tauba Wa Tajdeed E Imaan Karte Rahe Isme Yuh Kahe ''AEY ALLAH Agar Mujhse Koyi Kufr Sarzad Huwa Ho To Mai Tauba Karta Hu ( Karti Hu )'' Ye Kehne Ke Baad Kalima Padh Le. Aur Waqtan Fa Waqtan Tajdeed E Nikaah Bhi Karta Rahe. |
Share on |
0 Comments