بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 12 « ┄─┅━━━━━━┅─┄ Asale Imaan:-● Asale Imaan Sirf Dili Tasdeeq (Dil Se Sacha Man'na) Hai Badan Ke Aamal Imaan Me Bilkul Dakhil Nahi Aur Jaha Tak Zaban Se Iqraar Karne (Kahne ke) Ke Bare Me Kaha Gaya Hai To Isme Tafseel Ye Hai Ke Agar Dil Se Sacha Man'ne Ke Baad Zaban Se Zahir Karne Ka Moqa Na Mila To ALLAH Ke Nazdeek Momin Hai Aur Agar Moqa Mila Aur Us Se Pucha Gaya Lekin Usne Iman Ka Zaban Se Iqraar Na Kiya (Na Kaha) To Wo Kafir Hai Aur Agar Us Se Imaan Ke Baare Me Pucha Na Gaya To Dunyawi Ahkaam (Hukmo) Me Kafir Samjha Jayega Na Uske Janaze Ki Namaz Padhenge Na Musalmano Ke Qabrastan Me Dafan Karenge Magar ALLAH Ke Nazdeek Wo Momin Hai Agar Islam K Khilaf Koi Amr (Koi Baat) Usne Zahir Na Kiya Ho. 📚Bahare Shari'at, Hissa 1, Safa 52 📚Al Bahrurraiq, Jild 5, Safa 202 📚Durre Mukhtar, Jild 6 Safa 354 📚Tahtawi, Jild 2, Safa 478 |
Share on |
0 Comments