*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaykum
Gair muslim apne makaan ya dukaan "vastu shastra" ke hisaab se taamir karte hain.
Baaz musalman bhi "vastu shastra" ke mutabik apne ghar taamir karvaate hain.
Kya ye jaeez hai?
Rehnumaee farmaaen.
*🌹JAWAB:-🌹*
W alaikum Assalam w rahematullah,
Shariyat me makan ki ta'amir ke liye koi khas ahkam nahi he balki hasbe sahoolat makan ki ta'ameer ki ja sakti he. Gair muslimo ke nazdik wastu ki ahmiyat he or islam me is ka koi aetbar nahi. Har cheez ka khaliq, nafa'a w nuqshan ka malik sirf or sirf allah ta'ala hi he. Uske azn w ijazat ke bagair kuchh nahi hota. Albatta baytul khala ki ta'ameer me ye karna ki ba-waqte taharat rukh or pusht qibla ki taraf na ho. Ya ghar ke naqsha or ta'ameer ke muta'allik engeneer se mashwara liya ja sakta he, hawa ki aamad w raft, dhoop ke rukh or digar sahoolato ke peshe nazar engeneer jo mashwara de to ye shar'an mamnoo'a nahi he.
Hadish shareef me he ki, Saiyeduna abu huraira radiAllahu se riwayat he ki nabi e karem sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya bad shuguni koi cheez nahi bahetareen faal nek faal he. Arz kiya ya rasoolallah sallallahu alaihi w sallam nek faal kya he? Aap sallallahu alaihi w sallam ne irshad farmaya achchi baat jisko tum me se koi sunta he.
*📚(SAHIH BUKHARI, J-2, KITABUL TIBB, BABUL FAAL)*
Hadish shareef se wazeh he ki badshuguni kuchh nahi hoti. Isi tarah Wastu ka aqida rakhna batil he jiska islam se koi ta'alluk nahi. Ye gair muslimo ka tarika he. Wastu jiska matlab ye he ki ghar ko ek khas andaz se banane ko zaroori samaja jata he or us ke khilaf banane par usko manhoos or bura samja jata he or maut or hayat ya rahat w musibat, sehato bimari, tangi w barkat wagairah makan ki taraf mansoob kiya jata he.
Ye aqida dar asl hinduo me unke poojario ki taraf se vedo ke hawale se aaya he or pahle to vo usko apna ek mazhabi nazarya samajte the or ab khwamakhwa khinch taan kar usko ek sciency nazarya sabit karne ki fikr ki jaa rahi he. Wastu me ye bataya jata he ki ghar ka asl darwaza falaÑ simt ko hona chahiye, khidkiya falaÑ simt ki janib honi chahiye, or pakwan ka kamra is makam par hona chahiye wagairah. Or agar aysa na huva to kahte he ki koi mar jarga ya hadse huva karege ya maal me tarqqi na hogi ya bimariya aaegi wagairah. Ye aqida bhi batil he. Islam me is tarah ki koi baat sabit nahi. Islam bunyadi taur par is qism ki bato ka sakht tareen mukhalif he. Vo to yahi ta'aleem deta he ki kisi simt me kuchh nahi rakha he. Jo kuchh he vo allah ki masiyyat ke ta tabe'a he.
_Al garz wastu shastra ka islam se koi ta'alluk nahi. Balki ye aqida islam ke sarasar khilaf he. Musalmano ke in batil aqido se door rahna chahiye_
Wallahu aa'alam bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad, Gujrat*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖=========
0 Comments