بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 76 « ★ Padosi Aur Seerat-E- Mustafaﷺ ★ •────────────────• ⚘5⃣ ⌬ ➤ Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya Ki Jo Allah Aur Qayamat Ke Din Par imaan Rakhta Hai To Use Chahiye Ki Woh Apne Padosi Ko Takleef Nahi De Aur Uski izzat Kare Aur Us Ke Saath Achhchha Sulook Kare 📬 Sahi Bukhari,Hadees No.6018.Sahi Muslim,Hadees No.47 📔 ⚘6⃣ ⌬ ➤ Hazrat E Abu Huraira Radhi Allaho Anho Se Riwayat Hain Ki Ek Shaks Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam Falan Aurat Ke Bare Mein Bataya Jata Hai Ki Namaz,Roza Aur Sadqa Bahut Karti Hai Magar Ye Baat Bhi Hai Ki Woh Apne Padosiyon Ko Takleef Bhi Pahuchati Hai Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne Farmaya Ki Woh Jahannam Mein Hai Unhone Kaha Ya Rasoolallah Sallallaho Alaihe Wasallam Aur Falaan Aurat Ke Bare Mein Kaha Jata Hai Ki Us Ke Namaaz,Roza Aur Sadqa Mein Kami Hai (Yani Woh Farz Namaz Ke ilawah Nafli Namaz Wagairah Zyada Nahi Padhti Hai) Magar Woh Paneer Ke Tukde Sadqa Karti Hai Aur Apne Zubaan Se Padosiyo Ko Takleef Nahi Deti Hai Aap Sallallaho Alaihe Wasallam Ne irshad Farmaya Woh Jannat Mein Hai.. 📬 Al Mustadrak,Hadees No. 7304. Shu’bul imaan Hadees No.9098 📚 |
Share on |
0 Comments