بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 04 « •─• Eik Momin Ka Kirdar •─• ╭► Dusre ke Ghar Me Daakhil Hone Ka Tariqa ⁀➷ ─≽ Dusre Ke Ghar me Daakhil Hone Ka Tariqa Ye Hai Ki Pahle Andar Aane Ki ijazat Haasil Kare Phir Jab Andar Aa Jaae To Pahle Salaam Kare Us Ke Baad Hi Baat Chit Shuru Kare.Allah Ta’ala irshad Farmata Hai ki: •─• AL QUR’AN •─• ─≽ Aye imaan Walo! Dusron Ke Gharon Me Daakhil Na Ho Jab Tak ki ijazat na le Lo Aur Ghar Walon ko Salaam Na kar lo. 📘[Surah Noor,Aayat No.27.28]📘 ⚠Note:- ijazat Maangte Waqt Agar Ye Puchha Jaae Ki Kaun? To Jawab Me ''Main'' Na Kahe Balke Apna Naam Bataae.Kyunki Huzur Sallallaho Alaihe Wasallam ne ''Main'' Wale Jawab Ko Na’pasand Farmaya Aur irshad Farmaya Ki ''Main'' to Sab Hai.(Yani ''Main'' To Har Aadmi Apne Ko Bol Sakta Hai.) 📙[Tirmizi,Hadith No.2711]📙 ─≽ Mas’ala: Jab Kisi Ke Ghar Jaae Aur ijazat Maange Lekin ijazat Na Mile To us Se na’raaz Na Ho Balki Khushi Khushi Wapas Laut Jaae Kyunki Ho Sakta Hai ki Woh Us Waqt Us Se Ziyadah Aham Kaam Me laga Hua Ho. Allah Ta’ala ka Farmaan Hai Ki.(Ijazat Maangne par)Agar Tum Se Kaha Jaae ki laut Jaao To Tum Wapas chale jaao.Ye Tumhare liye Ziyadah Paakiza Hai.Aur Jo Kuchh Tum Karte Ho Allah Use Khoob Jaanta Hai.. 📝[Surah Noor,Aayat No.27.28]📒 |
Share on |
0 Comments