*🌹SAWAL🌹*
Das Biwiyo ki kahani, sola saiyed ki kahani, shahadat nama jesi kitabe padhna or unki mannat manna kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
_Das Biwiyo ki kahani or sola saiyed ki kahani ya janabe saiydda ki kahani ye kitabe gair mo'atebar or us me be shumar khilafe shara'a baate bhari padi he. Usko padhna jaiz nahi or uski mannat manna to jahalat he._
Jaisa ki Huzur TajushShariyah alahir Rahma Farmate he ye na mo'atebar kitabe he unko padhna sahih nahi.
Das biwiyo ki kahani, sola saiyedo ki kahani or shahadat nama agar sahih riwayato par mushtamil ho to unka padhna achcha he yu hi digar sabaq aamoz kahaniya bhi or agar in me galat or jhuthi riwayate bayan ki gai ho to unka padhna jaiz nahi albatta in kitabo ki mannat manna zaroor jahalat he.
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF, J-9, S-88)*
*📚(FATAWA MUSTAFIYA, S-526)*
_Or Huzur SadrushShariyah Alahir Rahma Mannat Maanne ke ta'alluk se Farmate He,_
Mannat maana karo to nek kam, namaz, rauza, khairat, or durood shareef kalma shareef, Qura'an shareef padhne, faqiro ko khana dene, kapda pahnane wagairah ki mannat mano
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-9, S-35)*
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S-96)*
In kitabo me kai sari riwayte be asl or khilafe shara'a bato se bhari padi he.in kitabo ko padhna jaiz nahi or uski mannat maanna jahalat he.. in kitabo me jo mangadat w khilafe shara'a riwayate he uski tafsilan nishandehi Kitab *📚DAS BIBIYO KI KAHANI BA-NAAM SACH YA JHUTH* me he..
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari,Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
==========➖➖➖➖==========
0 Comments