بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 01 « ┄─┅━━━━━━┅─┄ ⚘❂•➤ Mauzooda Pur Fitan Daur Me Aapne Dekha Hoga K Bahot Se Kam ilm Na Samajh log Jo Khud Ko Quran O Hadees Aur Istelahi Shariat Ka Khoob Jaankar Samajhte hai Raah Chalte Kisi Bhi Acche Amal Tak Ko Galat Bol Denge Biddat Shirk Tak Bolte Milenge Halanki Jab Kisi Ahle ilm Se inka Mukabla Ho ya unke Hattho Chad Jaate hai To Saara inka SO Called ilm Saamne Aajata Hai Ek Hadees e Paak Pesh e Nazr hai Baat Aur Aasan Ho Jaye ⚘❂•➤ Hazrat Abdullah Bin Amr Bin Al Aas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ Se Rivaayat hai ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaaya Allah Ta’ala ilm Ko is Tarah Nahi Uthaayega Ke Usey Logo’n (Ke Dilo’n) Se Kheench Le Balke Ulema’ Ke Uth Jaane (Ya’ni Wafaat) Se Ilm Uth Jaayega Yaha’n Tak Ke Jab Koi Aalim Nahi Rahega To Log Jahilo’n Ko Sardaar Bana lenge Chunancha Unse (Masaa’il) Pooche Jaayenge To wo Baghair Ilm Ke Fatwa Denge, Khud Bhi Gumrah Honge Aur Logo’n Ko Bhi Gumrah Karenge. 📒( Sahih Al-Bukhaari, Vol : 01, Kitaab No 03 : Al-Ilm, Baab No 34 : Kaifa Yuqbazul Ilm, Hadees : 100 ) |
Share on |
0 Comments