بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 13 « ┄─┅━━━━━━┅─┄ ●Musalman Hone K Liye Ye Bhi Shart Hai Ke Zaban Se Kisi Aisi Cheez Ka Inkar Na Kare Jo Zarooriyat E Deen Se Hai Agar Che Baaki Baato Ko Manta Ho Agar Che Wo Ye Kahe Ke Sirf Zaban Se Inkaar Hai Dil Me Inkar Nahi Ke Shariyat Ki Ijazat Ke Bina Musalma Koi Kufriya Baat Zaban Par Nahi La Sakta Wahi Shakhs Aisi Baat Zaban Par Layega Jis Ke Dil Me itni Wuq'at Hai Ke Jab Chaha inkar Kar Diya Halañke Imaan Aisi Sachayi Hai Jiske Khilaaf Ki Hargiz Gunjaish Nahi. 📚Bahare Shari'at Hissa 1, Safa 52 📚Sharh E Fiqhe Akbar, safa 257 📚Durre Mukhtar, Jild 6, Safa 356 📚Shami, Jild 6, Safa 358 📚Aalamgiri, Jild 2, Safa 283 📚Bazajiya,Jild 6, Safa 347 📚Tatarkhaniya, Jild 5, Safa 458 ● Agar معاذ اللہ Kisi Shakhs Ko Kalima E Kufr Bolne Par Majboor Kiya Gaya Yaani Use Mar Dalne Ya Uske Jism Ka Koyi Hissa Kaat Dalne Ki Sahih (Sachchi) Dhamki Di Gayi Ke Ye Dhamkane Wale Ko Is Par Qaadir Samjhe To Aisi Haalat Me Us Ko Rukhsat Di Gayi Hai Magar Ye Shart Hai Ke Dil Me Wahi Imaani Itminaan Maujood Ho Jo Pahle Tha Magar Afzal Jab Bhi Yahi Hai Ke Qatal Ho Jaaye Magar Kalma E Kufr Na Kahe. 📚Bahare Shari'at, Hissa 1, Safa 53 📚Bada E Ussanaae, Jild 9, Safa 529 📚Al Asbah Wannazaair, Jild 2, Safa 80 📚Sharhe Fiqhe Akbar, Safa 275 📚Sharhe Fiqhe Akbar, Safa 316 📚Fatawa E Khaniya, Jild 3, Safa 571 📚Aalamgiri, Jild 2, Safa 276 ● Aur Us Ke Saath Ye Bhi Shart Hai Ke Agar Waha Toriya Kar Sakta Hai To Toriya Kare Maslan Kisi Ko MA'AZALLAH NABI E Kareem ﷺ Ko Bura Kahne Par Majboor Kiya Gaya Aur Ikraah E Shara'i Paya Gaya To Ye Apne Dil Me Kisi MUHAMMAD Naam Ke Shakhs Ka Khayal Kar Ke Use Bura Kahde Aur NABI E KAREEM ﷺ Ka Khayal Hargiz Na Kare Agar Toriya Karna Janta Tha Aur Us Par Qudrat (Taqat) Thi Magar Usne Na Kiya To Us Par Hukme Kufr Hai. 📚Bahare Shari'at, Hissa 15, Safa 15, Matbu'aa Ziyaul Qur'aan |
Share on |
0 Comments