Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Akhlaaq-O-Aadaab Post No:-20

بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
★ Akhlaaq-O-Aadaab ★
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 20 «
•─• islami Zindagi •─•

╭► Surma Lagaane Ka Bayan ⁀➷

─≽ Hazrat-E-Abdullah bin Abbas radhi Allaho Anho Bayan Karte Hain Ki: Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki: '' ISMID '' Surma Lagao Kyunki Woh Nigaah Ko Tez Karta Hai Aur Baal ko Ugaata Hai.Aur Unhone Bayan Kiya ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam ke Paas Ek Surma-Daani Thi.Aap Sallallaho alaihe wasallam Har Raat Ko Us Se Teen Martaba Daaheni Aankh Mein Lagaate The Aur Teen Martaba Baa’ee Aankh Mein

📝(Tirmizi,Hadees No.1757 Sharhussunah,Hadees No.3201)📒

─≽ Hazrat-E-Anas Bin Malik radhi allaho anho Bayan Karte Hain ki:Huzur Sallallaho alaihe wasallam Daaheni(Right) Aankh Mein 3 Martaba Aur Baa’ee(Left) Aankh Mein Do Martaba Ismid Surma Lagaate The

📙( Sharhussunah,Hadees No.3205)

⚠Note:- Huzur Sallallaho alaihe wasallam se surma lagaane Ka Do Tariqa Saabit hai.Ek Ye ki Dono Aankh Mein 3/3 Baar Lagaae Aur Dusra Ye Ki Baaheni(Right) Aankh Mein 3 Baar Aur Baa’ee(Left) Aankh Mein 2 Baar Lagaae.Is liye Ye Dono Hi Tariqa Sunnat Hai.Isi Tarah Koi Bhi Surma Lagaa Sakte Hain Magar Zyada Achhchha ''Ismid'' Surma Hai Kyunki Khud Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki:Tum Jo Bhi Surma Lagaate Ho Un Mein Sab Se Behtar Surma ''Ismid'' Hai.

📝(Sunan Nisa’ee,Hadees No.5113. Sharhussunah,Hadees No.3201)📕

📝in Sha Allah Post Jari Hai......
Share on
|

Post a Comment

0 Comments