بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 25 « •─• islami Zindagi •─• ╭► Anguthi Pahan Ne Ke Masa’il ⁀➷ ─≽ Mas’ala:- Anguthi Dono Haath Me Se Jis Me Bhi Chaahe Pahan Sakte Hain.Kyunki Huzurﷺ Se Dono Tarah ki Baat Saabit Hai. Jaisa Ki:Hazrat-e-Abdullah bin Jaafar radhi allaho anho Se Riwayat Hain Ki Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Apne Daahine Haath Me Anguthi Pehante The. ✍(Ibn-e-Majah,Hadees No.3648)📘 ─≽ Aur Hazrat-E-Abdullah bin Umar radhi allaho anho Se Riwayat Hai Ki Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Apne Baaen Haath Me Anguthi Pahante The Aur Nagina Hatheli Ki Taraf Rakhte The. ✍(Abu Dawood,Hadees No.4227)📙 ─≽ in Dono Hadeeso Se Maloom Hua Ki Huzur Sallallaho alaihe Wasallam Ne Kabhi Daahene Haath Me Pahna Aur Kabhi Baaye Haath Me. is liye Dono Jaa’iz hai. |
Share on |
0 Comments