بـســـــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 39 « •─• islami Zindagi •─• ╭► ⚘ Chalne Ka Tariqa ⁀➷ ─≽ Chalne Ka Tariqa Ye Hai Ki Na Bahut Tezi Ke Saath Chale Aur Nahi Bahut Aahista Balki Darmiyana Chaal Chale. ─≽ Mas’ala:- Ghamand se itra itra Kar Chalna Sakht Gunaah Aur Allah ta’ala Ke Azaab Ka Zari’ya Hai.Allah Ta’ala Ne irshad Farmaya ki:Zameen Me itra Kar Na Chal.Beshak To Nahi Zameen Ko Cheer Paaega Aur Nahi Bulandi Me Pahaado Ko Pahuch Jaaega. ✍(Surah Bani isra’il,Aayat No.37)📙 ─≽ Hadees:- Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Farmaya Ki Ek Shakhs Do Chaadar Udhe Hue itra itra Kar Chal Raha Tha.To Use Zameen Me Dhasa Diya Gaya.Aur Qayamat Tak Woh Dhasta Hi Jaaega. ✍(Sahi Muslim,Hadees No.2088)📘 ─≽ Mas’ala:-Do Auraton Ke Bich Me Mardo Ko Chalne Se Huzur Sallallaho alaihe wasallam Ne Mana Farmaya.(Abu Dawood) ─≽ Mas’ala:- Raasta Chhod Kar Kisi Ki Khaas Zameen Me Chalna Mana hai.Haan Agar Wahan Par Raasta Na Ho To Chal Sakta hain Lekin Agar Malik Mana Karde To Phir Nahi Chal Sakte. |
Share on |
0 Comments