Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

islam Aur Aatankwaad Post No:-22

ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME

Post No. 22

➡️ Khoone Insani Ki Hifazat

🌐 Bevajah Kisi Ko Qatl Karna Chahe Vo Kisi Ke Haath Se Hota Huzur ﷺ Ko Sakht Napasand Tha. Jesa Ke Ek Baar Hazrat Khalid Ibne Walid Radiyallahu Ta'ala Anhu Ko Aapne Qabila e Bani Zamima Ki Taraf Bheja. Vaha Unhone Chand Logo Ko Qatl Kar Diya Aur Kuch Ko Kedi Bana Liya. Huzur ﷺ Ko Jab Iski Khabar Hui To Aapne Apne Dono Haath Utha Kar 2 Baar Kaha Ke Aye Allah Me Us Kaam Se Bari Hu Jo Khalid Ne Kiya. 

Tarjuma:- To Nabi E Karim ﷺ Ne Apne Haath Uthaye Aur 2 Baar Kaha Ke Aye Allah Me Us Kaam Se Bari Hu Jo Khalid Ne Kiya. Iske Baad Huzur ﷺ Ne Vaha Ke Kutto Tak Ka Jurmana Ada Kiya.

🌐 Ye Wo Islami Kaam The Jo Jung Ke Makaasid Me Kiye Gaye. Ab Aapke Samne Vo Kaam Pesh Kiye Jayenge Jo Islam Ne Jung Ke Tariko Ko Badalne Ke Liye Kiye Kyu Ke Jis Chiz Ka Maksad Nek Ho Zaroori Hai Ke Uske Haasil Karne Ke Tarike Bhi Usi Tarz Se Ho. Varna Maksad Kitna Hee Nek Kyu Na Ho Agar Uske Hasil Karne Ka Tarika Galat Ho To Usko Kisi Aitbaar Se Achha Nahi Kaha Ja Sakta. 

🌐 Agar Ham Maan Bhi Le Ke In Aatankwaadiyo Ka Maksad Duniya Se Zaalimo Ka Khatma Karna Hai To Bhi Inka Tarika E Jung In Ko Islam Aur Insaniyat Ka Mujrim Hone Se Nahi Bacha Sakta Kyu Ke Jaha Islam Ne Jung Ke Maksad Ke Liye "FEE SABILILLAH" Ki Kaid Lagayi Hai Ke Sirf Allah Ki Raah Me Un Logo Se Lado Jo Tumse Ladte Ho Vaha Uske Tariko Ko Bhi "LAA TA'ATADU" Yani Zyadati Mat Karo Keh Kar Tamam Vehshaniya Tariko Se Paak Kar Diya Hai. 

🌐 Ab Agar Koi "FEE SABILILLAH" Par To Amal Karta Hai Magar "LAA TA'ATADU" Par Amal Nahi Karta Tab Bhi Uska Amal Aayat Ke Khilaf Hee Hoga. Lihaza Aayat Ki Taraf Nazar Karte Hue Vo Gunahgaar Bhi Hoga Aur Usko Saza Bhi Di Jayegi. 

 ➡ Mazmoon Jaari Rahega

Post a Comment

0 Comments